About Me

header ads

Most Useful Online Backup Services


Hello friends, mojuda daur me Data ka mahatv bahut bad gaya hai. Apko kabhi pata nahi hota hai ki kab apki hard drive Crash hone wali hai ya aap kab galti se koi file over right kar denge. Ese me yadi aap chahte hai ki apka data accidently kho na jaye to apko ise secure rakhne ke liye kuch upay karne honge. Iske liye aap Online Backup Services ko kaam me le sakte hai.


online data backup servises, data backup, online data backup, backup services, cloud servies, cloud computing


Online backup services ki madad se aap surakshit tarike se apne documents, photos or other media ko protect kar sakte hai. To ayiye jaante hai kuch most useful online backup services ke bare me. 


Most Useful Online Backup Services: 



IDrive:


Agar aap online backup services le rahe to apko storage size, prize, advanced backup features or kaam me asani jaise factors par gor karna chahiye. IDrive in sab manako par khari utarti hai. Yeh iske desktop, mobile or web platform par good performance deta hai.


Acronis True Image:


Online or local backup solution ke combination ke alawa Acronis True Image ke backup seeking or advanced sharing options prabhavi hai. Iska latest 2018 adition cloud me files or drive immages ko protect karne ke liye kaam ata hai. Ise kaam me lena bahut asan hai.


SOS Online Backup:


SOS Online apne jyadatar competitors se high level ki security offer karta hai. yeh kuch special features bhi deta hai. Yeh local folder me backup karne ki capicity provide karta hai. Iska interface simple hai. Yeh sabse tej online backup services me se ek hai.


Backblaze:


Backblaze ki sab kuch backup karne ki latest release file sharing option offer karta hai. Iski performance me bhi sudhar hua hai. Tech savi users ko advanced backup options ki kami khalti hai, par online backup services ki duniya me yeh upyogi hai.

Zoolz: 

Isme kayi upyogi features mojud hai. Yah multiple users ki ijajat deta hai. Yah applications or system files ko backup karne ki suvidha deta hai. Isme 4 TB ka storage limit hai. Yah external drive backups ki suvidha bhi deta hai. Yadi aap online backup ko lekar pareshan hai to ise kaam me le sakte hai. 


Livedrive:


Livedrive deskktop or mobile platforms par majbut apps offer karta hai. Yah acchi vergning capacity prastut karta hai. Isme kuch Top-Tear features jaise file explorer integration or continues backup options ka abhav hai. Yadi simple kaam ke liye online backup service kaam me leni hai to Livedrive istemal kar sakte hai.


Carbonite:


Online backup services ki duniya me carbonite ka naam famous hai. Carbonite ne haal hi me file sharing or folder seeking features hataye hai. Isne external or network drive backups ko premium account tak simit kar diya hai.


SpiderOakONE:


Yadi aap security conscious user hai to apko yah service pasand ayegi. Aap iske security features or privacy focused options ko kafi pasand karenge. Yah files ko encrypted rakhta hai. Yah backup or restore process ke doran data ko secure rakhta hai. Yah apke backup schedule ko customize karta hai.

At Last: 
Agar apko ye article pasand aya ho to ise apne dosto ko jarur send kare. Yadi apke koi sawal ya sukjhav hai to hume comment karke jauru bataye.

Thanks for visit here...

Ye bhi pade:

  # Digital marketing kya hai, ise kaise kare?
  # Online photo sell kaise kare?
  # Http and https kya hai?
  # Social media se branding kaise kare?
















Post a Comment

2 Comments