About Me

header ads

How to Create YouTube Channel | YouTube Channel Kaise Banaye (Complete Guide - 2019)


Agar aap bhi apna ek YouTube Channel banana chahte hai to apko is post ko completely padna chahiye kyunki is post me mai apko bataunga ki YouTube Channel kaise banaye vo bhi completely step-by-step tarike se.

Dosto, online video dekhne ke liye aaj ke samay me YouTube sabse jyada use kiya jane wala plateform ban gaya hai. Kyunki online search ke mamle me Google.com search engine ke baad YouTube second number par ata hai. YouTube par jitne bhi videos dekhne ko milte hai un videos ko kisi na kisi person dwara YouTube Channel banakar upload kiye gaya hai. Unme se jyadatar channel apne videos par Ad chalakar acchi khasi kamai bhi kar rahe hai. 

YouTube Channel Kaise Banaye?

Dosto YouTube Google ka hi ek product hai or Google ki kisi bhi services ka use karne ke liye apko G-mail ID ki jarurat padti hai. Isliye YouTube Channel banane ke liye bhi apka G-mail account hona jaruri hai. Isliye sabse pahle aap apna G-mail account bana lijiye.

Yadi apko G-mail account banana nahi ata hai to aap G-mail ID kaise banaye , is post ko bhi pad sakte hai. G-mail ID banane ke baad ab apka YouTube Channel banane ki process start hoti hai. To ayiye step-by-step jante hai.


Step- 1 Sabse pahle Internet Browser me jakar YouTube.com type karke search kijiye. Iske baad youtube website open ho jayagi. yaha apko top left side me diye gaye SIGN IN button par click karna hai. Jaisa ki upar image me bataya gaya hai.

Step- 2 Jaise hi aap sign in button par click karenge uske baad aapko apni G mali ID se log in karna hoga. Iske liye apko apka G mail ID and Password dalna hoga. Uske baad youtube channel banane ki process start ho jayegi. 

Step- 3 Jaise hi aap apni g mail id or password dalkar enter karte ho uske baad apke samne ek page open hoga jisme apko apne YouTube Channel ka Naam type karna hai or uske baad CREATE CHANNEL par click kar dena hai.

Step- 4 Is step me laghbhag apka channel ban jata hai. Yaha se apke Youtube Channel ko customize kiya ja sakta hai. Customize ke antargat Youtube Channel ka Logo and Wallpaper apni iccha ke anusar set kar sakte hai. Channel Customize karne ke liye CUSTOMIZE CHANNEL par click kare.

Step- 5  Yaha ek page open hoga jisme aap niche diye gaye No.(1) ke icon se apne channel ka Logo set kar sakte hai. or  No.(2) wale Add channel art button se apne channel ka wallpaper set kar sakte hai. Logo set karne ke liye is page ke Top Left Side me mojud Logo Icon par mouse pointer lejakar pencil icon par click kare. Iske baad next page me Edit button par click karke aap apne device me mojud kisi bhi image ko select karke channel ke logo ke roop me laga sakte hai. Or thik isi tarah aap Add channel art par click karke wallpaper bhi set kar sakte hai.



Ab apka Youtube Channel ban gaya hai or ab apko apne YouTube Channel ko manage karna sikna hoga Taki aap apne channel ko asani se manage kar sake. Iske liye next step ko follow kare. 

Step- 6  Ab aap apne Youtube Channel ke Top Right Side ke bail icon ke paas mojud  Logo Icon par click kare. yaha ek drop down list open hogi jisme apko Creator Studio par click karna hai.

Iske baad aap dekhenge ki Creator Studio open ho gaya hai. Isme apko apne Youtube Channel ko manage karne ke liye bahut sare Options diye hote hai. In options ka use kya hota hai ye hum samajh lete hai-
youtube channel kaise banaye, how to create youtube channel, make youtube channel, how to make youtube channel
Creator Studio ko samajhne ke liye humne sabhi options ko 1 se 10 tak Number diye huye hai.

1- Youtube Studio Beta-  

Ye ek new option hai. yaha se aap apne Channel ko new Version ke roop me dekh sakte ho. yaha se bhi aap apne channel ke views, comments,Subscribers analytics adi status ko check kar sakte ho.

2- Deshboard-

Apke Youtube Channel ka Deshboard vo option hai jaha aap abhi ho. Isme apko Youtube Studio Beta ki tarah Total Views, Comments, Subscribers, Like, Dislike adi poori report check kar sakte ho.

3- Video Manager- 

Ye option Creator Studio ka sabse main option hai. Video Manager aapki sabhi video ki progress ko show karta hai. Yaha se aap apne sabhi videos ko poori tarah se manage kar sakte ho. Jaise ki Video ka title, discription, tags, custom thumbnails, audio, end screen anotations, video playlist adi set kar sakte ho.Iske liye aap jis video ko manage karna chahte ho us video ke aage diye gaye Edit button par click kare or apni icchausar video edit kare.

4- Live Streaming- 

Is option ke dwara aap apne subscribers ke samne khud ko Live Telicast kar sakte ho. or subscribers ke questions ka answer de sakte ho.


5- Community- 

Is option ke dwara aap apne channel ke comments, subscribers, message adi ka status check kar sakte ho.

6- Channel-

Is option ke dwara aap apne channel ke copyright status, community guideline status ko check kar sakte ho or monetization and branding adi ko set kar sakte ho.

7- Analytics-

Ye option bahut hi important hai. Is option ke dwara aap apne channel ki complete progress check kar sakte hai. Jaise ki aapke videos ke total or average views kitne hai, agar apki monetization on hai to total Revenue kitna hua hai, apke views konsi country se aa rahe hai, video dekhne wale kitne percent male hai or kitne femele hai, kitne viewers ne mobile, computer, tablet, TV adi se video ko dekha. Yaha aap apne youtube channel ka complete vishleshan kar sakte hai. 


8- Translations and Transcriptions-

Is option ke dwara aap Youtube Community se apne channel ki growth karne ke liye best ideas or sujhav prapt kar sakte hai. 

9- Create-

Create option ke dwara aap Youtube Ki Free Audio Library ka use kar sakte ho. Yaha se aap apne videos ke liye free audio(sound) download kar sakte hai. Iske liye apko jis type ka audio chahiye usko Search Box me type karke search kar sakte ho or usko apne video me background sound ke roop me use kar sakte hai.

10- Upload Button-

Is option ke dwara aap apne video ko Youtube par Upload kar sakte hai. Video upload karne ke liye upar image me dikhaye gaye upload button par click kare or apne device me mojud video ko select karke upload kare. Video upload hone ke baad video ka title, discription or tags likh sakte hai. 

At Last:
To friends! is post me mene apko bataya ki YouTube Channel Kaise Banaye? Mai ummed karta hu ki Isse apko apna Youtube channel banane me kafi help milegi. Apko ye article kaisa laga iske baare me aap mujhe comment karke jaroor baataye or is post ko apne Friends ke sath jaroor Share kare.

Thanks for visit here.
















Post a Comment

3 Comments

  1. nice article brother all the best for blogging journey

    https://www.sachhai.com/2018/07/cricketer-sreesanth-news-in-hindi.html

    ReplyDelete
  2. This is truly a great read for me. I have bookmarked it and I am looking forward to reading new articles. Keep up the good work!. buy youtube views

    ReplyDelete