About Me

header ads

Smart Phone kharidte Samay Kin Bato ka Dhyan Rakhe? | मोबाइल खरीदते समय क्या देखे

Hello friends agar aap new Smart Phone kharidne ja rahe hai to apko ye post jarur padni chahiye kyunki is post me apko bataunga ki Smart Phone kharidte Samay Kin Bato ka Dhyan Rakhe? Aajkal market me kayi brands ke smart phone new model ke sath launch ho rahe hai. Ese me agar aap ek new phone kharidne ki soch rahe hai to sahi offer or sahi model choose karna apke liye kisi chunouti se kam nahi hoga. 


Is problem ko asan karne ke liye aap apni pasand ke design, features, budget adi par thoda home work or research kar sakte hai taki antim decision lene ke liye aap acchi tarah se tayari kar sake. To ayiye yaha apke liye kuch aise hi best tips diye jaa rahe hai jinhe padkar apko apne liye ek best smart phone choose karne me asani hogi.   
Smart Phone kharidte Samay Kin Bato ka Dhyan Rakhe, smart phone purchasing tips, mobile tips and tricks, smart phone kaise kharide
Smart Phone kharidte Samay Kin Bato ka Dhyan Rakhe?

Smart Phone kharidte Samay Kin Bato ka Dhyan Rakhe?

Apki jarurat Kya hai:

Sabse pahle pata kare ki apki jarurate kya hai. Matlab apko kis kaam ke liye Smart Phone chahiye. Aap apne phone se kya kya kaam karne wale hai or apka phone apke liye kya importance rakhta hai. Jaise- Screen Size, Camera Quality or Battery Life etc.

Esa karne se apke liye sahi budget me ek accha Smart phone select karne me madad milegi. Aap festive season me Discount Offers or Promo Deals ka dhyan rakhe. Is doran aap apne old Smart Phone exchange karke bhi naya phone le sakte hai. Kisi bhi phone ki quality or value ek saal tak hi hoti hai or new model launch hone ke baad purane model ke phone kam kimat par bhi mil jate hai. Isliye aap thoda intajaar karke new model ke launch hone ke baad kam kimat par purane model ka phone bhi kharid sakte hai.


Budget:

Ye ek esa point hai jis par koi bhi khariddari sabse jyada nirbhar karti hai. Isliye apni jarurat ko dekhte hue apko sabse pahle apna budget fix karna chahiye kyunki yadi aap esa nahi karenge to ho sakta hai ki jab aap mobile kharidne jaye tab kisi other brand ke new feature ko dekhkar apka man fisal jaye or apka budget hi bigad jaye. Halanki is doran apka budget thoda kam jyada ho sakta hai. 

Brand:

Aap jab bhi koi phone lete ho to apke dimag me kisi n kisi brand ka naam to ata hi hoga. Vaise aajkal smart phone market me kayi sari companies aa chuki hai. Magar smart phone ke mamle me kisi brand ko choose karna apke liye jyada behtar hota hai kyunki famous barnd ke sath software update or customer support services ka bhi bharosa hota hai. 

Iske alawa agar kisi new brand ka phone le rahe hai to apko uske customer care center or servce center ke bare me bhi jankari jarur leni chahiye taki baad me koi dikkat na ho. Iske sath hi aap us brand ke online reviews or old customers ke feedback bhi check kar sakte hai. 

Operating System:

Har operating system ki kuck khas baat hoti hai kyunki inme features or apperance bhi alag alag hoti hai. Market me kuch Operating System sabse jyada famous hai jinme Google ka Android, Apple ka IOS, Microsoft ka Windows or Blackberry ka OS 10 pramukh hai. 

Inme se Android aajkal sabse jyada pasand kiya jane wala operating system hai kyunki ab jyadatar mobile companies Android ko hi use karti hai. Anroid par third party Apps bhi sabse jyada mojud hai. Iske sath hi Android based Smart Phone saste bhi hote hai. Normally Android ke updates ki ghoshna har saal May me hoti hai. 

Vaise market me IOS based Iphone bhi uplabdh hai par ye other phone ke mukable jyada mahnge hote hai. Ase me inhe kharidna har kisi ke budget se bahar hota hai. IOS ke new updates ki ghoshna har saal June me hoti hai. Is mahine me lagbhag sabhi IPhones me updates diye jate hai. 

Ye bhi pade:
   # Mobile Phone ko fast charge kaise kare?
   # Mobile Phone ko Slow ya Hang hone se kaise bachaye?
   # Mobile ki battery life kaise badaye?

Screen Size and Resolution:


Screen size ke mamle me bhi sabki choice alag alag hoti hai. Kisi ko large screen to kisi ko medium size screen pasand hoti hai. Par aap apne hath me asani se carry karne layak phone hi select kare. Isse apko apne phone ko lekar uncomfortable feel nahi hoga. Screen size ko diagonally napa jata hai. 
Smart Phone kharidte Samay Kin Bato ka Dhyan Rakhe, mobile tips and tricks, smart phone purchasing kaise kare


Par aap screen size koi si bhi select kare par uske sath ye bhi dhyan rakhe ki phone ka screen resolution kaisa hai. Resolution ka matlab screen par dikhai dene wali image ki quality kaisi hai. Isliye aap jyada se jyada screen resolution wala handset hi choose kare. 

Vaise A2, 560X 1440- pixel resolution 5.5 inch screen ya isse jyada ke liye behtar hai. Agar creen size 4.7 inch ya usse jyada hai to minimum 1080 P resolution behtar hoga. Dusri taraf jo VR handset hote use karte hai usme higher resolution behtar hota hai.

Battery:

Smart Phone ko use karte time jo baat sabse jyada pareshan karti hai vo hai battery backup. Aaj bhi smart phone ke new version ke bavjud bhi battery backup ek samasya hai. Par is problem se kuch had tak nibta ja sakta hai jyada mAh wali battery lekar. 

Mobile battery ki electrical capacity ko mAh (milliampere hour)me mapa jata. Isliye app jitni mAh wali battery lenge apka mobile utna hi jyada power backup dega. 3300 mAh ya isse jyada power ki battery jyada durable hoti hai.


Camera Quality:


Jyadatar log behtar camera ke liye hi smart phone kharidte hai. Isliye agar aap bhi sirf best camera ke liye hi phone kharidna chahte hai to us samay apko camera ke bare me bhi jankari jarur leni chahiye. Jaise mobile camera kitna Mega Pixel ka hai, uska resolution kaisa hai, rear camera, front camera kaisa hai, usme flash or auto focus kaisa hai, video recording HD me hoti hai ya isse kam, low light me camera se picture kaisi ati hai etc. 

Agar apko selfie lene ya video chatting ka shouk hai to aap front camera par jyada focus kare. Vaise phone ke camera ki capacity uske brand par nirbhar karti hai. Isliye agar acchi brand ka smart phone lenge to uski camera quality bhi behtar hogi. 

Aajkal twin camera wale phone bhi market me aa rahe hai to ese me photography ke shokin logo ke liye 2 rear camera jyada behtar hai kyunki dusre camera se photo me extra gahrayi, tallyphoto or jyada image detail create kar sakte hai. Phone camera se indor ya kam roshni me photo lene ke liye Optical Image Steblization (OIS) moving subject ko blur nahi hone deta hai.  

Processor Chip: 


Kisi bhi mobile phone ki performance or speed uske Processor chip par nirbhar karti hai. Isliye mobile kharidne ke doran uske Processor par bhi dhyan de. Mobile phone ka processor kitna powerful hai ye uske GHz (Giga Hartz) or Core ke bare me jankar pata kiya ja sakta hai. Vaise market me kayi tarah ke Processor uplabdh hai par unme se Mediatek or Qualcom ke sabse acche mane jate hai. 

Processor jitne jyada Core wala hoga phone utna hi multitasking work kar sakega, vo bhi achhi speed ke sath. Market me aajkal Dual Core se lekar Octa Core tak ke smart phone avialable hai. Isliye aap apni jarurat ke hisab se Processor dekhkar hi phone kharide. 

Agar aap phone se multitasking work ya heavy game khelna chahte hai to apko kam sa kam Quad Core Processor wala phone hi lena chahiye. Vaise bhi aajkal 10,000 se 15,000 Rs. me Octa Core wale Phone mil jate hai. 


RAM:


Kisi bhi phone me RAM(Random Access Memory) utni hi important hoti hai jitna ki uska processor kyunki RAM hi kisi programme ya application ko run karane ki jagah deti hai yani allow karti hai kyunki jab koi programme run karta hai to vo mobile ki primery memory ko use karta hai jise RAM kahte hai. Ab background me jitni jyada memory hogi phone me utne hi programme open ya run ho payenge. 

Isliye hum yeh samajh sakte hai ki programs run hone par RAM use hoti hai or program close hone par RAM free ho jati hai. Apne dekha hoga ki aksar phone hang hone lagta hai. Ye problem kam RAM wale phone me jyada hoti hai. Isliye agar aap ek sath multiple aaps use karna chahte hai to acche processor ke sath hi jyada RAM wala smart phone hi kharide. 

Koshisk kare ki 2GB RAM ya usse jyada wala phone hi le. Isse mobile ke hang hone jaisi choti moti problems nahi hogi.

Conclusion:
Sabse pahle pata kare ki apki jarurate kya hai. Matlab apko kis kaam ke liye Smart Phone chahiye. Apni jarurat ko dekhte hue apko apna budget fix karna chahiye. Kisi bhi brand ka phone lene se pahle apko uske customer care center or servce center ke bare me bhi jankari jarur leni chahiye. 

Operating sytem ke mamle me new updates bhi pata kare. Kam budget ke liye Android phone best hai. 4.5 inch screen wale phone jyada bahtar mane jate hai kyunki inhe handle karna asan hota hai. 3300 mAh ya isse jyada power ki battery jyada durable hoti hai. 

Camera ke poore funtion use karke dekhe, photo or video quality jarur check kare. Iske liye customer review or feedback bhi check kare. Mobile ki acchi performance ke liye kam se kam Quad core smart phone le. Iske sath hi RAM bhi minimum 2GB honi chahiye. 


At Last: 
To friends ummed karta hu ki apko ye article pasand aya hoga. Ise apne dosto me bhi share kare taki unhe bhi esi important jankari mil sake. 

Yadi is post se related apke koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment karke jarur bataye. Me apko uska jaldi hi reply karne ki koshish karunga. Isi tarah ki or jankari email dwara pane ke liye is blog ko subscribe jarur kare. 

Thanks for visit here...

Ye Bhi Pade:
  # PUBG Game Kya Hai?
  # Career Life me success kaise paye?
  # Top 25 computer keyboard shortcuts
  # Social media se apni branding kaise kare?






Post a Comment

1 Comments

  1. nice bro keep it up https://www.shoutmeindian.online/2018/06/how-to-add-beaitiful-email-subscription.html

    ReplyDelete