About Me

header ads

Top 25 computer keyboard shortcut keys | Keyboard Shortcut Keys

Hello friends, is post me hum baat karne wale hai un Top 25 computer keyboard shortcut keys ke bare me jinke dwara aap apni computer operate karne ki speed ko bada sakte hai. Ji ha friends, computer operate karte samay humme se jyadatar users mouse ka hi use Karte hai. Isse unki computer par kaam karne ki speed slow hi jati hai. Isliye sabhi computer operators ko in shortcut keys ka hamesha use karna chahiye. Ye shortcut keys apke kaam ko or bhi asaan bana deti hai. To ayiye jante hai un Top 25 computer keyboard shortcut keys ke bare me.
Top 25 computer keyboard shortcut keys; keyboard shortcut keys; shortcut keys; top shortcut keys; computer shortcut keys;
Top 25 computer keyboard shortcut keys

Top 25 computer keyboard shortcut keys

1- alt+tab:

Iska use already open multiple programs ke bich me switch Karne ke liye Kiya jata hai. Yani ki Aap computer me pahle se open multiple programs me se jis program me Jana chahta hai vaha jaa sakte hai. Iske liye apko bas apne keyboard ke alt button ko dabakar uske baad tab button ko dabate Jana hai.


2- alt+f4:

Is shortcut key ka use kisi bhi open program ko close Karne ke liye Kiya jata hai. Yadi sabhi open programs ko Isi tarah close Karna hai to aap alt ke sath f4 key ko dabate jaye.

Iske alawa Isse aap apne computer ko bhi turn off Kar sakte hai. Iske liye aap computer ke sabhi programs ko close karne ke baad alt+f4 keys dabate jaye or last me Enter key debaye.

Yadi aap Widows xp ka use Karte hai to alt+f4 ke baad U and Enter key press kare.


3- Window+D:

Iska use tab kiya jata hai jab apko computer ke sabhi open programs ko ek sath minimize karna ho. Iske baad aap desktop par pahunch jaoge. In sabhi programs ko fir se restore karne ke liye Window+D ko phir se dabaye.


4- f12:

Agar aap apne desktop me MS-Office ka use kar rahe hai tab kisi file ko save as a karne ke liye f12 key ko dabaye. 
Vahi yadi aap laptop me is kaam ko kar rahe hai to Fn+f12 dabaye.

Ikse alawa aap ctrl+S ka use bhi kar sakte hai. Iksa use file me kuch edit karne ke baad ya regular text type karte hue save karne ke liye bhi kiya jata hai.

Ye bhi pade:     
     # Quantum Computer Kya hai?       
     # Bitcoin Kya hai, isko acche se samhje.


5- ctrl+N:

Yadi aap MS-Office ke kisi bhi software me kaam karte hue ek new blank file open karna chahte hai to ctrl+N ka use kar sakte hai.


6- ctrl+T:

Is shrotcut key ka use kisi bhi tarah ke browser me ek new tab open karne ke liye kiya jata hai.


7- ctrl+H:

Iska use aap apne computer ke web browser ki history ko open karne ke liye kiya jata hai. Iske baad yadi aap us web browsing history ko delete karna chahte hai to aap ctrl+shift+delete ko dabaye.


8- ctrl+shift+N:

Iske dwara aap apne computer ke browser me incognito mode ko on kar sakte hai. Iske liye aap ctrl+shift+N ko dabaye.


9- ctrl+J:

Iske dwara aap apne computer ke browser me download menu ko open kar sakte hai. Download menu ke dwara aap ye pata kar sakte hai ki apke computer me konsi file download ho gayi hai or konsi file abhi download ho rahi hai.


10- ctrl+D:

Iska use aap apne web browser me open kisi bhi web page ya URL ko bookmark ya save karne ke liye kar sakte hai.


11- ctrl+click:

Jab aap google me koi keyword  search karte ho to vaha apko search result me se jis link ko ek new tab me open karna hai to iske liye aap ctrl+click yani keyboard se ctrl button dabakar rakhe or mouse ke left button ko dabaye. Esa aap har ek link ko open karne ke liye kar sakte hai. 


12- ctrl+shift+T:

Iska use apne web browser me last closed tab ko open karne ke liye kiya jata hai. Iska matlab agar aap galati se apne computer ke browser me kisi tab ko close kar dete hai to aap us tab ko phir se open karne ke liye ctrl+shift+T ko dabaye.


13- ctrl+alt+delete:

Yadi aap apne computer ko restart karna chahte hai to aap is shortcut key ka use kare.


14- f2:

Yadi aap apne computer ke kisi bhi folder ya file ko rename karna chahte hai to f2 ka use kare.


15- ctrl+Z(Undo): 

Iske dwara aap apne computer me abhi haal hi me ki gayi last task ko cancel karne or phir se pahle wali position me ane ke liye kar sakte hai. Jaise yadi apne computer ki kisi file me kuch type kiya hai ya kuch edit kar kar diya hai to aap phir se pahle wali position me ane ke liye ctrl+Z key ko dabaye. Aisa karna Undu kahlata hai.


16- ctrl+Y(Redu):

Iske dwara aap abhi haal hi me undo kiye gaye last task ko phir se vapas lane ya redu karne ke liye kar sakte hai.


17- ctrl+C(Copy):

Iski madad se aap apne computer me kisi bhi file, folder ya content ko copy kar sakte hai. Copy karne ke liye aap bas us content pe jakar use select kare or ctrl+C key dabaye.


18- ctrl+X(Cut):

Iske dwara aap computer ke kisi bhi content ko ek jagah se dusri jagah move kar sakte ho. Iske liye aap content ko select karke ctrl+X key press kare.


19- ctrl+V(Paste):

Is shortcut key se aap kisi bhi copy ya cut kiye gaye content ko paste kar sakte hai. Matlab ki apne jis content ko ctrl+C se copy kiya hai ya ctrl+X se cut kiya hai to us content ki duplicate copy ya phir usko move karne ke liye paste kar sakte ho. 


20- ctrl+A(select all):

Agar aap kisi bhi file ya folder me total content ko ek sath select karna chahte ho to ctrl+A key ko press kare. Isse sara content ek hi baar me select all ho jayega.


21- ctrl+Aero key(←↑→↓):

Jab apko bina mouse ke kisi bhi text ya other content ko select karna ho to iske liye aap keyboard ke ctrl ke sath ←, ↑, →, ↓(aero key) ka use kare. Yaha aap ctrl ke sath jis aero key ko press karenge usi ke anusar content select hoga.


22- ctrl+tab:

Iski madad se aap computer ke kisi bhi web browser me open multiple tabs ke bich me switch kar sakte hai. Yani browser ke ek tab se dusre tab me easily jaa sakte hai.


23- ctrl+Home:

Is shortcut key ke dwara aap kisi bhi document file ke home page me jaa sakte hai. Aisa karne ke liye apko mouse ka roller ghumana nahi padega. Phir chahe aap document file ke kisi bhi page me kyu na ho.


24- ctrl+End:

Iska use document ke sabse last wale page me switch karne ke liye kiya jata hai. 


25- f5:

Is key ka use normally computer ko refresh karne ke liye kiya jata hai. f5 key ko dabaye rakhne se computer regular refresh hota rahega. 


At Last:
To freinds is post me maine apko Top 25 computer keyboard shortcut keys ke bare me bataya hai. Ye shortcut keys vastav me apke liye bahut helpful hogi or apke computer experiance ko bada dengi. Isliye apko inka use jarooor karna chahiye. 

Agar apko isi tarah ke articles padna pasand hai to is blog ko jaroor subscribe kare. Or ye article apko kaisa laga hume comment karke jaroor bataye.

Thanks for visit here...



























Post a Comment

0 Comments