About Me

header ads

Blog Post Publish Karne ke baad kya kare? (Top suggestions)



Dosto, apne kafi mahnat karke ek accha sa article publish bhi kar diya hai par ab blog post Publish karne ke baad kya kare! Jisse humare blog par jyada visiters bhi aye or blog ki ranking me bhi sudhar ho sake. Shayad kuch aise hi sawal apke man me bhi ate honge. To iske liye aaj me apko kuch aise tips batane wala hu jinko apply karke aap apne blog par traffic bhi bada payenge or ranking bhi. 
Blog Post Publish Karne ke baad kya kare; what to do after blog post publish; blogging; blogger; what should i do for blogging; blogging tips and tricks; blogging tips; blogging kaise kare;
Blog Post Publish Karne ke baad kya kare

Blog post publish karne ke baad kya kare?

1- Social Media par share kare:

Aap apne blog ko publish karne ke baad social media ke lagbhag sabhi platform par share kare. Blog post ko social media par dalkar aap apne readers ko ye bata sakte hai ki ye post kaha milegi or kis tarah ye post unke liye madadgar ho sakti hai. 

Facebook me share karne ke liye aap apne blog se related ek page banaye or apni post ko jyada se jyada readers tak pahunchane ke liye aise groups join kare jo ki apki category se related ho or jinke group mamber ki sankhya jyada ho. Aap twitter or facebook ke liye scheduling programe use kar sakte hai or aap chahe to manually post bhi kar sakte hai.

2- Jyada Tweets ka schedule banaye:

twitter feeds itne jaldi moov karte hai ki unme se specific tweets bhi chut jate hai, khaskar tab jab aap alag time zone me ho. isliye apne new blog post ko twitter par agle kuch din tak kayi baar share kare.

Ye bhi pade:
   # SEO friendly article kaise likhe?
   # Adsense account approve karane ki best tricks
   # Adsense account disapprove kyu hota hai?


3- Comments ka jawab de:

Apni audiance ke sawalo ke jawab dene se unke sath connection banta hi hai sath hi isse or bhi kyada logo se judne me madad milti hai. Apko apne audience ke comments ke dwara acche ideas bhi milte hai jinse aap apne blog me jaroori sudhar bhi kar sakte hai.

4- Page reviews ko check karte rahe:

Apko Google Analytics ke dwara daily apne blog ke page reviews ko jaroor check karna chahiye taki apko ye pata chal sake ki apki posts readers par kya prabhav daal rahi hai. Google Analytics ke dwara apko ye pata lagega ki apki konsi post ko sabse jyada page view mile, konsi post ko par kitne comments mile or apki post ko padne ke liye users konse keywords use kar rahe hai. Isse aap apne readers ki jarurat or interest ke bare me kafi kuch jaan sakenge.


5- Photos ko Pinterest par pin kare:

Dosto, jis tarah se log google par images search karte hai thik usi tarah Pinterest par bhi images search ki jati hai. Isliye apko Pinterest par account jaroor banana chahiye taki aap apni publish ki hui blog post ki images ko vaha pin kar sake. Aap jab bhi koi post publish kare to uske baad us post ki images ko aap Pinterest par pin jaroor kare. 

Image ko pin karne ke liye aap apni blog post ko open kare or uske image par top left side me mouse pointer ko move kare. Vaha apko save ka option dekhne ko milega to aap save par click kare. Iske baad pinterest me jakar aap us image se related koi title deke save kar sakte hai. Uske baad jab bhi koi user pinterest par us title se related images search karega to vaha apki image bhi show hogi or yadi user apki image par click karta hai to vo sidha apke blog par pahunch jayega. Is prakar apko yaha se bhi traffic mil sakta hai. 
\

6- Quora & other Blog Forum par burning questions ka jawab de:

Agar aap apni blog post ko publish karne ke baad Quora ya other blog forum par jate hai to vaha aap apni us post se related questions ko dekhe or uske behtar jawab ke liye aap apni blog post ka link vaha jaroor share kare. Taki log jyada jankari ke liye vaha se direct apke blog par aa sake. Isliye ye trick aap pratek new blog post ko publish karne ke baad jaroor kare.


7- Facebook Ad service ka use kare:

Agar aap apne blog ke liye kuch paise kharch kar sakte hai to aap facebook Ad campaign chala sakte hai. facebook pe Ad chalana jyada costly bhi nahi hai. Iska sabse bada fayeda ye hai ki aap yaha se Ad campaign ke liye apni iccha se target audience bhi set kar sakte hai taki apka Ad sirf apke target audience tak hi pahunche or isse apke blog par accha traffic aane ki jyada sambhawana bad jati hai.


8- Old Post ko review & update kare:

Apke blog ke liye ye bahut hi acchi baat hogi ki aap apni old blog post ko niyamit roop se review karte hai kyunki isse apko apne articles ko or bhi behtar banane me help milti hai. Isliye jaha tak ho sake aap niyamit roop se nayi jankari ke sath apni best performer blog post ko update kare. Isse apki blog post apke readers ke liye sabse achi samgri pradan karti rahegi or search engine me apke blog ki ranking bhi badegi. 

Final Words:
To friends is post me apne ye jana ki blog ko promote karne ke liye blog post publish karne ke baad kya kare. Agar apke is post se related koi sawal ya sujhav hai to aap hume comment bataye. Or yadi aap isi tarah ke article padna chahte hai to is blog ko subscribe jaroor kare.

Thanks for visit here...

Ye bhi pade:
 # Kam samay me ek successful blogger kaise bane?
 # Apne passion ko successful business me kaise change kare?

 # Ek successful Youtuber kaise bane?
 # Copyright free Images download kaise kare?

Post a Comment

0 Comments