Hello Friends, Is post me hum mobile ki ek sabse badi problem ke bare me baat karne wale hai voh ye ki Mobile Phone ki battery life kaise badaye?
Ye samsya lagbhag har ek mobile user ke sath hoti hai. Yaha hum apko iske liyeb kuch strong tips batane jaa rahe hai.To agar aap bhi janana chahte hai ki apne Mobile Phone ki battery life kaise badaye to is post ko complete pade. Yaha mene Mobile ki Battery Life Badane ke Kuch Khas 10 Tips diye hai jo yakinan apke jaroor kaam aayenge.
Isliye jaha tak possible ho sake to apne mobile ke same charger ko hi use kare. Yadi kabhi dusra charger use karna hi ho to us charger ki voltage capacity jaroor check kar le. Agar match bhi na kare to bhi use kar sakte hai par aisa baar baar na kare.
Kuch best Battery Saver Apps. hai jinhe aap apne mobile ke liye use kar sakte hai jaise:- Du battery Saver, Easy Battery Saver, Avast Battery Saver, Battery Doctor etc.
Force Stop karne ke liye aap is step ko follow kare-"setting>Application>select app>force stop"
Moblie ko kabhi bhi Night me charging lagakar na chode. kyunki isse over charing hone par battery fulne ki problem hone lagti hai. Aisa lagatar karte rahne se battery ki backup capacity kam hone lagti hai.
Halaki aajkal ke kuch new mobiles ke sath over charging ki problem nahi hoti hai phir bhi agar apke pass old mobile hai jisme removal battery lagi hoti hai unko over charge kabhi na kare.
Dusri baat ye ki agar aap kisi aisi jagah par ho jaha mobile charging ki suvidha bilkul na ho or yadi apko apne mobile ki battery backup bachakar rahkna ho to ese samay me bhi apko Flight Mode on kar lena chahiye. Or jab apko jarurat ho tab ise Off karke jaruri Phone Calls kar sakte hai.
At Last:
To Dosto, Ye the Mobile ki Battery Life Badane ke Kuch Khas 10 Tips jinhe me khud bhi use karta hu or isliye ab inhe apke sath share kiya hai. Aap is article ko apne dosto ke sath bhi share kare. Apko humara ye article kaisa laga hume comment karke jaroor bataye. Agar apke is post se related koi sawal ya sujhav ho to hume jaroor send kare. Me jaldi hi apke comment ka jawab dene ki koshish karunga.
Thanks for visit here...
Ye bhi Padhe-
Ye samsya lagbhag har ek mobile user ke sath hoti hai. Yaha hum apko iske liyeb kuch strong tips batane jaa rahe hai.To agar aap bhi janana chahte hai ki apne Mobile Phone ki battery life kaise badaye to is post ko complete pade. Yaha mene Mobile ki Battery Life Badane ke Kuch Khas 10 Tips diye hai jo yakinan apke jaroor kaam aayenge.
Mobile Phone ki battery life kaise badaye
1- Always Use Orignal/Standard Charger:
Dosto, har ek mobile ki charging voltage capacity alag alag hoti hai. islye unke charger bhi capacity ke hisab se alag alag hote hai. yadi hum dusra charger use karenge to ho sakta hai ki uski output voltage capacity alag ho jo apke mobile se match na karti ho.Isliye jaha tak possible ho sake to apne mobile ke same charger ko hi use kare. Yadi kabhi dusra charger use karna hi ho to us charger ki voltage capacity jaroor check kar le. Agar match bhi na kare to bhi use kar sakte hai par aisa baar baar na kare.
Mobile Phone ki battery life kaise badaye(Top 10 Powerfull Tips) |
2- Screen Brightness Kam Rakhe:
Mobile ki bringhtness jitni jyada hogi utni hi mobile ki battery consume(kharch) hogi. Islye humesha mobile ki Screen Brightness kam hi rakhe. Night ke samay aap ise or bhi kam kar sakte hai. Isse apko 2 fayde honge ek to apka mobile jyada battery backup dega or dusra ye ki isse apki aanhke bhi safe rahegi kyunki night me screen ki high resolution ke karan aankho par bura asar padta hai.3- Battery Saver Apps Use Kare:
Battery saver App mobile ke sabhi Apps ke liye battery power ko manage karne ka kaam karta hai. Is tarah se ye App mobile ke liye jyada battery kharch hone se bachata hai. Aajakal bahut sari companies ese App bana rahi hai. Aap chahe to online search kakre kisi ek best Battery Saver App ko Install kar sakte hai.Kuch best Battery Saver Apps. hai jinhe aap apne mobile ke liye use kar sakte hai jaise:- Du battery Saver, Easy Battery Saver, Avast Battery Saver, Battery Doctor etc.
4- Faltu Apps ko Force Stop kare:
Kuch Apps. Internet on karte hi automatic background me run karne lagte hai. or is tarah ye Apps. battery ki power ko bhi consume karte rahte hai. Isliye jo App. apke kam nahi aa rahe ho unhe aap Force Stop karke apne mobile ki battery backup ko jyada time ke liye bada sakte ho.Force Stop karne ke liye aap is step ko follow kare-"setting>Application>select app>force stop"
5- Charging se related kuch bate follow kare:
Kabhi bhi aap mobile ko fully charge(100%) na kare. Charging karne ke liye mobile ko 20%- 80% ke bich me hi charge kare. Yani ki jab battery backup 20% ya usse kam ho tabhi mobile ko charger se connect kare or maximum charging 80% tak hi kare. Isse mobile ka battery backup jyada better milta hai or battery long life tak chalti hai.Moblie ko kabhi bhi Night me charging lagakar na chode. kyunki isse over charing hone par battery fulne ki problem hone lagti hai. Aisa lagatar karte rahne se battery ki backup capacity kam hone lagti hai.
Halaki aajkal ke kuch new mobiles ke sath over charging ki problem nahi hoti hai phir bhi agar apke pass old mobile hai jisme removal battery lagi hoti hai unko over charge kabhi na kare.
6- Bina Vajah Internet On Na Rakhe:
Dosto jab bhi hum Mobile me Internet Data on karte hai to mobile jyada Network catch karne ke liye jyada power kharch karne lagta hai. Isliye internet Data tabhi on kare jab hume ise use karna ho. khaskar aisi jagah par to Data on hi naa kare jaha par Network kamjor ho ya na ke barabar singnal milte ho kyunki ese me aap Data On bhi kar doge tab bhi mobile ko Network catch karne ke liye acchi khasi battery power consume karni hi padegi.7- Live Wallpaper Use Na Kare:
Aap apne mobile me wallpaper ke roop me kisi bhi JPG image ka use kar sakte ho. Lekin Live Wallpaper ka use na kare kyunki Live Wallpaper ek GIF file hoti hai jo ki kisi bhi JPG(image) file se jyada badi hoti hai or use run hone ke liye jyada battery ko use karna padta hai.8- Internet Data nahi Wifi Use kare:
Ji ha agar aap Internet ke liye Wifi ka use karte hai to Isse mobile ki battery Data ki tulna me jyada time tak Backup de payegi. Isliye jaha bhi possible ho Wifi ka use kare.9- Background Running App Clean kare:
Mobile chalate time Background Running Apps ko clean karte rahna chahiye Kyunki jab hum kisi App ko on karte hai to usko use karne ke baad direct cancel button par jakar bahar aa jate hai or is tarah hum dusre App use karte jate hai. Isse ye sabhi Apps. mobile ke background me run hote rahte hai or mobile ki battery ko kafi jyada use karte rahte hai. Isliye aap humesha mobile ko use karne se pahle or baad me background ke Running Apps ko clean karte rahe.10- Flight Mode Use Kare:
Jab aap kisi Plane se yatra kar rahe ho tab apko mobile ka Flight Mode on kar lena chahiye Kyunki ese samay me apka mobile kisi bhi network ko pakad nahi pata hai or isi network ki talash me apka mobile kafi jyada battery power kharch kar deta hai.Dusri baat ye ki agar aap kisi aisi jagah par ho jaha mobile charging ki suvidha bilkul na ho or yadi apko apne mobile ki battery backup bachakar rahkna ho to ese samay me bhi apko Flight Mode on kar lena chahiye. Or jab apko jarurat ho tab ise Off karke jaruri Phone Calls kar sakte hai.
At Last:
To Dosto, Ye the Mobile ki Battery Life Badane ke Kuch Khas 10 Tips jinhe me khud bhi use karta hu or isliye ab inhe apke sath share kiya hai. Aap is article ko apne dosto ke sath bhi share kare. Apko humara ye article kaisa laga hume comment karke jaroor bataye. Agar apke is post se related koi sawal ya sujhav ho to hume jaroor send kare. Me jaldi hi apke comment ka jawab dene ki koshish karunga.
Thanks for visit here...
Ye bhi Padhe-
0 Comments