About Me

header ads

Ek Successful Youtuber Kaise Bane | How to become a Successful Youtuber-Top 13 Secrets




Hello friends, Aaj ke samay me ek Youtuber bankar paisa kamana koi badi baat nahi hai. lekin Ek Successful Youtuber kaise bane, ye sapna har ek youtuber jaroor dekhta hai. Isliye agar app bhi Youtube se paise kamana chahte ho to is post ko apko jaroor padna chahiye kyunki is post me hum baat karne wale hai ki Ek Successful Youtuber Kaise Bane. 
ek successful youtuber kaise bane, how to become a successful youtuber, become a successful youtuber, youtube pe safalta kaise paye, youtube me success kaise milegi
Ek Successful Youtuber Kaise Bane(Top 13 Secrets)
Yaha hum apko Top 13 aise Tips bata rahe hai jo ki har ek youtuber ke liye jaroori hote hai. Isse apko ek successfull youtuber banne me help jaroor milegi.To aayiye start karte hai-


Ek Successful Youtuber Kaise Bane?

1- Planning kare:

Kisi bhi kaam me safalta tabhi milti hai jab use kaam ko poori planning ke sath kiya jaye. Isliye agar aap bhi ek successfull youtuber banna chahte hai to iske liye bhi apko plan pahle hi kar lena chahiye kyunki agar aap aaisa karte hai to apko is kaam me kabhi bhi boriyat nahi hogi or aap ise regular kar paoge. Planning ke liye apko kuch baate samajhni hogi. jaise:-
  1. Youtube ke bare me poori jankari rakhni hogi jaise youtube ki Privacy and Policy etc. 
  2. Adsense ki jaankari jaise- adsense monitization kab or kaise on hota hai. Iska kya criteria hai. 
  3. Aap jis topic par video create karne wale hai uski apko kitni jankari hai ya aap iske new video kab or kaise banoge? kya aap lagatar us topic par video bana paoge?
  4. Apka video uploading time kya rahega. Matlab aap kab or kitne samay me video upload karoge.
  5. Aap apne video ka pramotion kaise karoge taki jyada se jyada view mile.

2- Starting Kaise Kare:

Sabse pahle apko apne orignal naam ki ek Gmail ID bana lena hai. Uske baad usi Gmail ID se ek Youtube Channel bhi bana lena hai. Iske liye aapko apne youtube channel ka name unique rakna hoga. Ye naam esa rakhe jo ki kisi or channel ka na ho. 

Ab apne youtube channel ko acche se customize kar hoga. Is douran apko apne channel ka personal Logo or banner banakar laga lena hai. Ye logo or banner apke channel ki alag hi pahchan banayegi hai.
ये भी पढ़े -
          # Gmail Id Kaise Banaye     # Youtube Channel Kaise Banaye


3- Keyword Research Kare:

Agar aap sochte hai ki apke har ek video ko jyada se jyada log dekhe to iske liye apko keyword Research jaroor karna chahiye. Kyunki isse apko pata chalta hai ki kis keyword par jyada search kiya ja raha hai. Isse apko kuch idea jaroor milega ek accha viral content create karne ke liye. 

Keyword Research karne ke liye aap Google Adword- Keyword Planner ka use kar sakte hai. Ye bilkul free hai. iske alawa aap chahe to kuch paid keywords planner bhi use kar sakte hai jaise:- SEMrush, KWfinder, Keyword Tool, Keyword In etc.


4- Viral Content Create Kare:

Jaisa ki aap sab jante hi hai ki youtube me content kewal video hi hota hai to iske liye apko lagatar unique content pe dhyan dena hoga. matlab apke video me logo ko ek attraction dikhna chahiye. Aisa content create kare jisse log apke video ko complete dekhne ki koshish kare or log us video ko jyada se jyada share bhi kare. 

Isse apko kayi fayede honge jaise ki share karne se apka video viral hone ke jyada chances bad jayenge or apke video ka Watch Time badega. Matlab apke video ko log jyada der tak dehkenge isse unhe jyada Ads bhi dekhne ko milenge. or isparkar apko jyada Income bhi hogi.


5- Sound Quality ka Dhyaan Rakhe:

Aap video banate samay sound quality ka vishesh dhyan rakhe kyunki sound hi video me attraction ka karan hota hai. Aap video me jo bhi bol rahe hai uski awaz viewers ko clear sunai deni chahiye. Iske liye aap acchi quality ka sound recorder use kare. 

Agar aap video me apni awaz ke saath background music bhi use karte hai to ese me background music ka sound kam rakhe. Isse viewers ko background music ke sath apki awaz bhi clear sunai degi.


6- Humesha Ye Tips Follow kare: 

Jab bhi aap video banakar youtube par upload karte hai to apko humesha in baato ka dhyan rakhna chahiye jaise:- 
  1. Sabse pahle video ka Title, Discription, Tags ko dhyan se likhe. 
  2. Relevancy(prasangikta) bahut jaroori hai. 
  3. Apke har ek video ki Thumbnail Image bhi akarshak honi chahiye.
  4. Agar apko graphic designe nahi ati to aap Adobe Spark namak website jakar bina paisa kharch kiye akarshak Thumnail bana sakte ho. 
  5. Video ka Discription kam se kam 150 Words ka hona chahiye. 
  6. Ye jaroori nahi hai ki aap High Resolution Camera hi use kare. Yadi aap chahe to iske liye apne normal Smart Phone se bhi video shoot kar sakte hai. 
  7. Agar aap Animated video banana chahte hai to iske liye aap"https://www.powtoon.com/" use kar sakte ho. yaha se aap "how to" and "things to do" jaise video asani se ban jate hai. Aise video kafi dekhe bhi jate hai. Isliye aap chahe to is par bhi kaam kar sakte hai.   

7- Regularity Ko Banaye Rakhe:

Jis tarah regularity har kaam me jaroori hoti hai thik usi tarah youtube pe bhi safalta paane ke liye apko regularity banaye rakhni hogi Kyunki isse apke viewers ke sath attrection bana rahta hai. Ek or baat ye ki aap apne video uploding ka ek fix day or time decide kare or nischit time baad aap apna video upload karte rahe. Isse apke subscribers ko apke next video ka besabri se intjaar rahega. 


8- Comments ka Reply Jaroor Kare:

Ek acche youtuber ke liye har ek viewers khaas hota hai. Comments me log apse kuch jaroori sawal ya tips bhi dete hai. Isliye aap sabhi comments ka reply samay se dene ki koshish kare. Agar aap aisa karte hai to isse apke subscribers ka aap par bharosa bad jata hai.


9- Copyrights ka Dhyan Rakhe:

Youtube ki copyright policy bahut hi strict hoti hai. Agar aap iska dhyan nahi rakhte hai to isse apke channel par Youtube, Strike bhi de sakta hai or esa 3 baar hone par apka channel humesha ke liye delete bhi kiya jaa sakta hai. Isliye humesha youtube ki privacy and policy se update rahe. 

Isi ke anusar hi aap apne videos banaye taki aap apne youtube channel or Adsence Account ko safe rakh sake. Kyunki ye hi apka Brand hai or Property bhi hai to ise safe rakhna jaroori hai.


10- Social Media ka Use Kare:

Jis tarah se aaj social media world famous hota jaa raha hai thik usi tatah social media par active user bhi world famous hote jaa rahe hai. Aajkal jyadatar log apna time social media ko dene lage hai. Ese me agar apka bhi koi brand hai jaise apka youtube channel to aap iska promotion bhi yaha se kar sakte hai. 

Iske liye aap apne youtube channel ke naam ka Page bana le or vaha par apne har ek video ka link share jaroor kare. taki vaha se bhi apko traffic mile. App lagbhag sabhi social Media Plateform par apna account banaye. Jaise: Facebook, Twitter, Google +, Tumbler, LinkedIn, Pinterest ect. 


11- Backlinks Create Kare:

Social media ke alawa aap videos ki backlinking bhi kare. Backlinking ke liye Quora, Yahoo Answers, Blog Forum adi par jakar logo ke sawalo ke jawab dete huye apne videos ke link bhi share kar sakte hai.


12- Subscribe Karne ko Bole:

Kisi bhi youtube channel ki popularity ka andaza isi baat se lagaya ja sakta hai ki us channel ke kitne Subscribers hai. Isliye aap bhi apne Subscribers ki sankhya lagatar badane ki koshish karte rahe. Iske liye aap apne har ek video ke end me logo ko subscribe karne ke liye ye request kar sakte hai ki "Is Channel ko Subscribe karne ke sath sath Bail Icon bhi press kare taki apko humare latest vodeo ki notification milti rahe".

Iske sath hi aap video ke discription me comment karke use Pin To Top kar de. Isse bhi apke views badenge.


13- Patience(Dherya) Rakhe:

Agar aap Youtube par safal hona chahte hai to apko yaha Patients rakna hoga or Regular work karna hoga kyunki video upload karne ke baad search se traffic ane me thoda time to lagta hi hai. Apke dwara dale gaye 10- 50 videos me se koi ek hi video viral hoga. Halanki ek video viral hone ke baad pahle se huyi linking ki vajah se apke Subscribers badenge, lekin isme time bhi lag sakta hai lekin apko lagatar kaar karte rahna hai.

At Last:
To ye the Ek Successful Youtuber banne ke Top 13 secrets jo ki apko ek Successful Youtuber banne ke me kafi help karenge. Agar apko ye post pasand aya ho to please ise apne dosto me Share jaroor kare. Or agar apke is post se related koi sawal ya sujhav ho to hume comment karke jaroor bataye. 

Thanks for visit here...

ये भी पढ़े -
     # Free me Blog/Website Kaise Banaye?
     # Copyright Free Image Download Kaise kare?
     # Facebook Creators App kya hai, Isse Paise Kaise kamaye?
     # Digital marketing Kya Hai, Ise Kaise Kare?

Post a Comment

1 Comments

  1. Thanks for sharing this valuable content. In my view, if all webmasters and bloggers made good content as you did, the web will be a lot more useful than ever before. streamer

    ReplyDelete