About Me

header ads

Mobile ko Slow ya Hang hone se kaise bachaye(Top 10 Powerfull Tips)



Dosto, aajkal har kisi ke paas mobile Phone hota hi hai or ye sabse jyada use bhi kiya jata hai. Or kayi baar humare samne mobile ke slow ya hang ho jane ki samasya aane lagti hai. Ye samasya lagbhag har mobile user ke sath hoti hi hai.
To aajka humara ye article isi ke bare me hai ki mobile ko slow or hang hone se kaise bachaye.
mobile ko hang slow ya hang hone se kaise bachaye, mobile ko slow hone se kaise roke, how to prevent moblie to be slow or hang, how to stop hang mobile, stop hang dmobile, remove hang problem, avoid hang problem, how to speed up mobile, mobile slow reason, why mobile slow down, moblie ki speed kaise badaye, how to fast mobile, what to do for fast mobile, remove mobile hang problem
Mobile ko Slow ya Hang hone se kaise bachaye(Top 10 Powerfull Tips) 

Mobile hang kyu hota hai?

Dosto sabse pahle to hume is baat ko janna hoga ki akhir kya karan hai jinki vajah se mobile slow ya hang hone lagta hai. To aayiye jante hai-

1- Mobile Me RAM Kam Hona- 

RAM (Random Access Memory) yani ye vo memory hoti hai jo ki mobile ke sabhi Apps.(Application) or data ko run karati hai. Mobile me jitne jyada Apps. run honge utni hi RAM use hone lagegi. Isliye jab RAM ki limit poori hojayegi to mobile ki processing speed bhi slow hone lagti hai. Ye slow processing hi ek limit ke baad mobile ko hang kar deti hai.

2- Internal Storage ka kam hona-

Internal Storage vo storage hota hai jise hum mobile me Data Store karne ke liye use karte hai. Yani hum photo, video adi ko isi storage me save karke rakhte hai. Jab ye storage apni full limit ke aas-paas bhar jata hai to mobile ki speed slow hone lagti hai, kyonki itna heavy data manage or explore karne me system ko jyada processing karni padti hai. Is karan bhi moblie slow hone lagta hai.

3- Phone Me Virus-

Mobile hang hone ke piche Virus bhi ek karan hota hai. Phone me Virus sabse jyada Internet ke dwara ate hai or kabhi kabhi ek dusre ke mobile me Data Sharing se bhi Virus aa jate hai.

4- Junk File Clean na Karna- 

Jitna jyada hum Mobile chalate hai utni hi mobile ki RAM me Junk Files badti jati hai jinhe samay samay par clean na karne par ye RAM ko use karke mobile ko slow kar deti hai.
Ye Bhi Pade:-
        #Mobile Phone Ki Battery Life Kaise Badaye
        #Copyright free Images Download Kaise Kare      

Mobile ko Hang Hone Se Kaise Roke-

Chaliye ab baat karte ki aap apne mobile ko slow ya hang hone se kaise bacha sakte hai-

1- Delete Heavy Files-

Aap apne moblie me kayi tarah ki files rakhte ho unme se kai heavy files ya large file hoti hai. Ye heavy files agar apke bahut jarurat wali na ho to inhe Delete krana hi behtar hota hai. Aisa karne se apke mobile ki storage me bahut sara free space ho jata hai jisse mobile fast chalne lagega.

2- Force Stop to Unwanted Apps-

Jab ap apne mobile me Internet use karte ho tab mobile me kuch Apps. automatic background me run hone lagte hai or internet ka use karne lagte hai. is wajah se bhi apka mobile hang ho sakta hai. Isliye jo Apps. apke kam nahi aa rahe ho unko aap Force Stop karke mobile ki processing speed ko bada sakte ho.

Mobile ke Apps ko Force Stop karne ke liye aap is step ko follow kare-
setting>Application>select app>force stop


3- Avoid Multitasking in Law RAM-

Agar apke mobile ki RAM kam hai jaise 1 GB ya usse kam to aise me apko apne mobile me multitasking work nahi karna chahiye. Matlab apko ek time me kewal ek hi kaam ka App open karna chahiye. isse apke mobile ki RAM bhi free rahegi or mobile jyada fast chalne lagega.

4- Internal Apps ko SD Card me Move kare-

Dosto, aap jab bhi aap apne mobile me Kisi App ko Install karte ho to vo App Default setting ki vajah se mobile ki Internal Memory me Save ho jata hai. Or isprakar lagatar App. install karte rahne se mobile ki Internal Memory me space kam ho jata hai. Isliye mobile ki Internal Memory me free space rakhne ke liye apko Extra Installed App. ko apne mobile ke SD Card me Move kar dena chahiye. 

5- Ek se Jyada Virus Cleaner App na Rakhe-

Agar aap apne mobile me ek se jyada Virus Cleaner Apps. Install karke rakhte ho to apko aisa kanre se bachna chahiye, kyunki agar hum ek jyada Virus Cleaner App rakhenge to koi bhi App thik se kaam nahi kar payega bulki ye sabhi Apps. ek dusre ke opposite kaam karenge. Iski vajah se mobile Internal Memory or RAM par extra load bhi padta hai. 

Isliye jaha tak sambhav ho sake to apko apne mobile me Preinstalled Virus Cleaner App ka hi use karna chahiye. Aisa karne se apka mobile thik se kaam karega. Or Apko ise time to time Update bhi karte rahna chahiye.

6- Refresh Regularly-

Jab bhi aap mobile ko use karna start karte ho tab apko use ek baar Refresh kar lena chahiye. Esa karne se mobile ke background me faltu junk files clean ho jati hai or apka mobile slow nahi hoga. Aisa aap din me kam se kam 2-3 baar jaroor kare.

7- Detele: Browse Histry, Cookies etc-

Dosto Mobile me sabse jyada use Internet Browser ka kiya jata hai. Or in Internet Browser me serf ki gayi History and Cookies files automatic save hoti rahti hai. Isliye Apko History, Cookies files ko bhi time to time Delete karte rahna chahiye.

8- Uninstall Unwanted Apps.-

Agar apke mobile me kuch aise Apps. installed hai jo ki apke jyada kaam nahi aate hai to apko aise Apps. ko Uninstall hi kar dena chahiye kyunki ye App mobile ki Internal Memory, RAM, Battery adi ka use karte rahte hai.

9- Faltu Data ko Delete Kare.

Agar aap apne moblie ko fursat se check karoge to apko aise kai data mil jayenge jo ab apke bilkul kaam nahi aate hai to ab apko un Data ko completely Delete hi kar dena chahiye. Matlab ye ki aap apne mobile me sirf kaam ka data hi store karke rakhe.


10- Stop Internet Data-

Jab aap apne mobile me Internet ka use nahi kar rahe ho tab apko mobile ka Internet Data stop karke rakhna chaiye kyonki esa karne se background me run ho rahe kuch Apps. bhi stop ho jayenge. Is tarike ko ajmane ke karan bhi kuch had tak mobile ko hang ya slow hone se bachaya jaa sakta hai.

At Last:

To is post me apne ye jana ki Mobile ke slow ya hang hone ke kya karan hai. Sath hi ye bhi ki mobile ko slow ya hang hone se kaise bachaye.

Asha karta hu ki apko is post se kuch kaam ki information jaroor mili hogi. Aap apne anmol vichar hume comment karke jaroor bataye. sath hi koi sawal ya sujhav ho to hame jaroor send kare. 


Thanks for visit here...

Ye Bhi Pade-
     # Digital Marketing kya hai, ise kaise kare
     # Facebook Creator App kya hai, isse paise kaise kamaye
     # Google par Website kaise banaye free me
     # Online Photo Sell Karke Paise Kaise Kamaye





Post a Comment

0 Comments