Hello Friends, aaj is post me hum kisi bhi entrepreneur ya business me kaam ane wali jaruri jankari ke bare me baat karne wale hai ki kisi bhi Business ke Liye Trademark, Copyright or Patent Kyu Jaroori Hai?
Apka koi bhi artistic work, symbol, name, image, invention, book, painting, computer code ho, ye sab Intellectual Property(IP) ke antargat ate hai or in IP ko register karwana bahut hi jaroori hota hai. In IP ko register karne ke liye Trademark, Patent or Copyright ka use kiya jata hai.
Pratek businessmen ya Entrepreneur ko in sabhi terms ke bare me janna bahut hi jaroori hai kyunki inki jankari ke bina agar aap business karte hai to ho sakta hai ki apko nuksaan bhi uthana pad sakta hai. Agar apke paas apni Intellectual Property(IP) se related rights(adhikar) hote hai to isse koi bhi apki us prroperty ka misuse(durupayog) nahi kar sakta. Isliye Apko apne sabhi Intellectual Properties ko surakshit karwane ke liye Indian Government ke Controller General of Patents, Design and Trademarks ke yaha register karwana jaroori hai.
Note:-
Agar aap apni kisi IP ko register karwana chahte hai to iske liye aapko jyada der na karte hue jaldi se jaldi is kaam ko kar lena chahiye kyunki apko nahi pata ki Govt. ke paas ese same ideas ke liye apse pahle hi koi apply kar chuka ho Ya ye bhi ho sakta hai ki same time ek hi idea ke liye do application pahunch jaye, Or esi condition me use pahle prathmikta milti hai jo pahle pahunchi hai.
Sabhi prakar ke Creative Professionals jaise Writer, Architect, Artist, Choreographer adi, ye sabhi apne kaam ko register karwa sakte hai. Jab aap apne idea ko physical form me le ate hai tab aap use register karwake Copyright le sakte hai. Duniabhar me kai log apne kalatmak karyo ke liye Copyright lete hai jaise movies, sculpture, photographs, architectural work, writing, choreography etc.
Copyright Ek tarah ka Legal Evidence hota hai jo ki apko apne product ka malikana haq bhi deta hai. Ye apki poori zindagi bhar ke liye valid hota hai.
Kisi bhi invention ke liye Patent ki avadhi maximum 20 years ke liye hoti hai. Iske baad ise phir se renew karwana hota hai.
Trademark ka matlab vo unique symbol hote hai jo ki kisi bhi product ya service ko ek alag pahchan dete hai jaise kisi company ka Logo ya Slogan. Isliye sabhi new businessman ya entrepreneurs ke liye apne product ya service ki suraksha ke liye Trademark karwana jaroori hota hai taki apne brand ka naam, design, slogan, symbol ya image ki suraksha ho sake.
Trademark suraksha ka kaam to karta hi hai sath hi iske karan products me antar bhi bana rahta hai. Jab aap Register karate hai tab apke product ya service ke liye Trademark ke roop me ek Symbol diya jata hai. Uske baad ye Symbol hi apke product ya service ki pahchan ban jata hai or jisko aap apne product ke liye use kar sakte hai.
Trademark ki avadhi 10 years hoti hai, iske baad phir se renew karwana padta hai. Trademark registration ki process online hoti hai.
Conclusion:
Kisi bhi business ya invention ko secure rakhne ke liye Trademark, Copyright and Patent karana bahut hi jaroori hota hai. Iske liye jitna jaldi ho sake utna jaldi apply kar dena chahiye. Apply karne ke liye aap Indian Government ke Controller General of Patents, Design and Trademarks ke yaha register karwa sakte hai. Copyright apki poori zindagi bhar ke liye valid hota hai. Patent ki avadhi maximum 20 years ke liye hoti hai. Iske baad ise phir se renew karwana hota hai. Trademark ki avadhi 10 years hoti hai, iske baad phir se renew karwana padta hai. Trademark registration ki process online hoti hai.
At Last:
To friends ab aap samajh gaye honge ki Trademark, Patent or Copyright kya hai or kisi bhi business ke liye ye sab kyu jaroori hai. Agar apko ye article pasand aaya ho to ise apne friends ke sath bhi share kare. Or agar is post se related aapke koi sawal ya sujhav ho please hume comment karke bataye. Or isi tarah ke knowledgeable content padne ke liye humare is blog ko subscribe kare.
Thanks for visit here.
Ye bhi Padiye:
# Top 20 Best business Ideas For Everyone
# Online Paise kamane ke Top 5 Tarike
# Shutterstock pe Online Photo Sell Karke Paise kaise kamaye
# Facebook Creators App Kya hai, Isse Paise kaise kamaye
Business ke Liye Trademark, Copyright or Patent Kyu Jaroori Hai? |
Trademark, Patent and Copyright Kyu Jaroori Hai?
Jaisa ki aap sab jante hi honge ki aajkal ke dour me kisi bhi chij ki suraksha kitni jaroori hoti hai. Thik vaise hi Business ke liye bhi security bahut jaroori hoti hai, kyunki apka business apke liye ek brand hai or property bhi hai or ese me aap ye bilkul bhi nahi chahenge ki apke is brand or property ko koi nuksaan pahuchaye ya apse chin le. Isliye ye jaroori ho jata hai ki aap kisi bhi business ko start karne se pahle usse related kuch jaruri chije ya property secure kar lena chahiye taki future me apko apne business me koi problem na ho.Apka koi bhi artistic work, symbol, name, image, invention, book, painting, computer code ho, ye sab Intellectual Property(IP) ke antargat ate hai or in IP ko register karwana bahut hi jaroori hota hai. In IP ko register karne ke liye Trademark, Patent or Copyright ka use kiya jata hai.
Pratek businessmen ya Entrepreneur ko in sabhi terms ke bare me janna bahut hi jaroori hai kyunki inki jankari ke bina agar aap business karte hai to ho sakta hai ki apko nuksaan bhi uthana pad sakta hai. Agar apke paas apni Intellectual Property(IP) se related rights(adhikar) hote hai to isse koi bhi apki us prroperty ka misuse(durupayog) nahi kar sakta. Isliye Apko apne sabhi Intellectual Properties ko surakshit karwane ke liye Indian Government ke Controller General of Patents, Design and Trademarks ke yaha register karwana jaroori hai.
Note:-
Agar aap apni kisi IP ko register karwana chahte hai to iske liye aapko jyada der na karte hue jaldi se jaldi is kaam ko kar lena chahiye kyunki apko nahi pata ki Govt. ke paas ese same ideas ke liye apse pahle hi koi apply kar chuka ho Ya ye bhi ho sakta hai ki same time ek hi idea ke liye do application pahunch jaye, Or esi condition me use pahle prathmikta milti hai jo pahle pahunchi hai.
Copyright Kya Hota Hai?
Copyright Ek tarah ka Legal Evidence hota hai jo ki apko apne product ka malikana haq bhi deta hai. Ye apki poori zindagi bhar ke liye valid hota hai.
Patent Kya Hota Hai?
Sabhi type ki industry ya avishakar(invention) ki suraksha or ownership ke liye Patent kiya jata hai. Isliye gar apke paas koi idustry hai ya apne kisi bhi chij ka avishkar(invention) kiya hai to aap uska malikana haq or uski surksha ke liye use Patent jaroor karwaye. Esa karne se aapko us property ke Exculsive Rights bhi prapt ho jate hai. Patent apke product ka kai prakar se misuse(durupyog) hone se rokta hai jaise- product ko banana, sell karna, import karna ya use karna etc.Kisi bhi invention ke liye Patent ki avadhi maximum 20 years ke liye hoti hai. Iske baad ise phir se renew karwana hota hai.
Trademark Kya Hota Hai?

0 Comments