About Me

header ads

PUBG Game Kya Hai, Ise Kaise Khele


Friends, aajkal apne online PUBG Game ke bare me to suna hi hoga. Ye game aajkal kafi lokpriya hota jaa raha hai. Poori duniya me karodo log is game ke diwane ho rahe hai. To ayiye jante hai ki akhri Pub G game kya hai or kya khas baat hai is game me jiski vajah se ye game itna famous hai.  
pubg kya hai, pubg game kya hai, what is pubg, pubg, pubg kaise khele, how to play pubg, pubg download, download pubg game
PUBG Game Kya Hai. 

PUBG Game kya hai

PUBG  internet par khela jane wala ek action game hai jo ki android and IOS version me uplabdh hai. Ise koi bhi apne mobile, laptop ya computer me khel sakta hai. Is game ko december 2017 me ek south korian video game company Bluhole ki sahayak company Pubg Nigam ne banaya tha. 

Is game ki diwangi ka andaja aap isi baat se laga sakte hai ki ab tak ise 200 country me 100 karor se jyada baar download kiya ja chuka hai. Akele India me hi ab tak 6 karor se jyada bar ise download kiya gaya hai. India me har roj 20 million users active rahte hai. 

PUBG (player known's battle ground) PUBG ka craze India hi nahi poori duniya me chaya hua hai. Ye game aajkal yuvao me kafi lokpriya hai. chahe bacche ho ya bade, har kisi me PUBG game ka craze dekhne ko mil raha hai. Log social media par active rahne ke bajay PUBG game me time bitana jyada pasand kar rahe hai.

Is game ke diwano ki mane to PUBG se unki sochne ki capacity bad rahi hai. Yah ek esa game hai jise aap internet ki madad se apne dosto ke sath online khel sakte hai. Matlab agar aap ghar me faltu baithkar bor ho rahe hai ya internet par faltu ki chije search kar rahe ho to ese me aap PUBG game khel sakte hai. 

Is game ko download karne ke liye apke device me kam se kam 2 GB free space hona jaruri hota hai. 


PUBG Game kaise khela jata hai?

PUBG game me 100 players ko ek island par parachute ke dwara utara jata hai. Iske baad un sabhi players ko gun and bomb search karne hote hai, jinki sahayata se dushmano ko marna hota hai. Game ke last me jo bachta hai vo winner hota hai. 

PUBG game ko akele ya jyada se jyada 4 players ke madhyam se ek team me khela ja sakta hai. Isme aap ek sainik ke roop dushman ke area me jakar unko marte raho or unka saman ikkatha karte raho. Isi tarah aap apne sath khel rehe other palyers ke sath batchit karke unhe guide bhi kar sakte ho.

Is game ko khelkar aap apni dinbhar ki thakan ko mita sakte hai to vahi log PUBG game khelkar paise bhi kama rahe hai. PUBG khlete time lagta hai ki app real me koi senik hai jo dushmano ko dhadadad maar raha hai.

Isilye is game ko khelne se aap apni nirasha or tention ko door karke apne andar atmvishwash bhar sakte hai. 

PUBG Game ko andorid mobile ke liye free me download kiya jaa sakta hai par agar aap PC ke liye chahte hai to ise apko online purchase karna hoga. Jiska india me price 999 Rs. hai.

PUBG Game Download kare:

for Android moblile
for Windows system

At Last:
To friends agar apko bhi ye game khlena chahte hai to iske liye meri apko ek hi salah hai ki aap ise ek limit tak hi khele kyunki ye game jyadatar bacche or young logo ko mansik roop se bimar bhi bana raha hai.

Ye game human nody ke liye khatarnak bhi hai kyunki ye frustration bhi badata hai. Ek baar iski lat lagne ke baad asani se nahi chuti hai. Iski vajah se logo ke vyavhar me badlav or ankho par bhi bura asar hota hai. Isliye aap is tarah ke game ko sirf apne enjoy or timepass ke roop me hi le.

Asha karta hu ki apko PUBG Game ki jankari pasand ayi hogi. Agar apke is post se related koi sawal ya sujhav ho to hume comment jarur kare.

Thanks for visit here....

Ye Bhi Pade:
    # Digital Addiction kya hai?
    # Internet ki shuruat kaise hui?
    # Mobile Phone ko fast charge kasie kare?
    # Mobile phone ki battery life kasie badaye?
    # Mobile phone ko hang hone se kaise bachaye?




Post a Comment

0 Comments