About Me

header ads

Shutterstock Par Images Upload Kaise Kare | How to Upload Images on shutterstock- 2019



Hello friends, agar apne bhi online images sell kerne ke liye shutterstock pe account bana liya hai to ab janna chahte honge ki shutterstock par images  upload kaise kare. To aap is post ko completely padiye, kyunki isme aapko completely step by step bataya jayega ki shutterstock par images upload kaise kare.
how to upload images on shutterstock, shutterstock par image kaise upload kare, shutterstock par photo upload kasie kare, earn money by online image selling, how to earn money online, how to sell image online, online image sell
shutterstock par Images upload kaise kare | How to upload images on shutterstock
Sabse pahle hum baat karte hai ki agar apko shutterstock account banana nahi ata hai to aap is post ko jaroor pade:-


Shutterstock par images upload kaise kare?

STEP - 1 Sabse pahle aap google search me jakar 'shutterstock contributor' type kare or shutterstock website open karke apne banaye hue account se Sign in kare. 


STEP - 2 Sign In karne ke baad apke samne shutterstock contributor ka Deshboard open hoga. Yaha aap top left side me diye gaye Upload Images button par click kare. 


STEP - 3 Is page me aap select multiple files option par click kare. iske baad ek page open hoga jaha se aap apne device (mobile/computer) me rakhe hue images ko select karke upload kare.

NOTE:- Yaha ek baat ka apko dhyan rakhna hai ki apki image kam se kam 4.0 megapixels ki hone chahiye. Ye chek karne ke liye aap apni image ki property me jaye or size ko check kare. yadi image ki size 4 MP ya usse jyada hai to behtar hai shutterstock par upload karne ke liye.


STEP - 4 Apne device ke storage ki jo images aapne select ki hai vo upload hone ke baad yaha display hogi. iske baad aap Next button par click kare.


STEP - 5 Yaha apke samne 'To Submit' page open hoga jisme apko apni uploaded images ko select karne ke baad us image ki kuch jaroori information bharni hogi. Jise niche di gayi image ke anusar samjhe:- 

No. 1 area se aap apni uploaded image ko phir se select kare. 

No. 2 area se aap apni image ke anusar option select kare. 

A- Sabse pahle aap 'image type' option se Photo ya illustration ko select kare. Yani ki apki image agar camera se click ki gayi hai to aap photo option select kare, yadi apne vo image computer grafics ki madad se tayyar ki hai to aap illusttration option select kare.

B- 'Uses' se commercial ya editorial ko select kare. yani ki aap apni image ko commercialy display karna chahte ho to is 'commercial' option ko select kare, or yadi aap apni image ki discripation me us image ki koi story ya full detail dalna chahte ho to aap editorial option select kare.

C- Yaha apko upar B me select kiye gaye option ke anusar apni image ke baare me Description (detail) fill karni hogi. jaise ki- image me kya bataya gaya hai, image kaha ki hai, image ki khasiyat kya hai atc. Yani ki apko image ke main subject ka vivaran dena hai.

D-  Yaha apko apni image ki category ko select karna hai. Yani ki apki image kis category ki hai, jaise:- nature, wild, art, animal, beauti, education etc.
E- Yaha se aap apni image se related Keywords type karke daal sakte hai. Vaise iske niche 'keyword sugestions' area se aap readymade keywords select kar sakte hai. 

Keywords:- Keywords vo shabd hote hai jo ki internet par kisi user dwara type karke ya bolkar search kiye jate hai, jiske baad screen par user ko usse related kuch result show hote hai. For Example- agar aap shutterstock website pe jakar 'Ganga River' word type karte ho to vaha akpo kewal 'Ganga River' ki hi images result me show hogi.

Esa Isliye hua hai kyonki jis kisi ne bhi is website par Ganga River ki image ko upload kiya hai usne isi tarah keywords daal rakhe hai. isliye yaha keywords bahut hi important hota hai. Isse apki image search result me show hoti hai. Sabkuch thik tarah se bhar jane ke baad last me  Submit  button par click kare. Yaha upar is image me idkha gaya hai ki kis tarah se option select karke details bhari gayi hai. 

STEP- 6 Jaise hi aap Submit button par click karenge uske baad apke samne ek page open hoga jaha aapko apni uploaded image ke baare me detail show jayegi. Yaha aap dekh sakte hai ki jo image abhi apne upload ki hai vo abhi pending option me show ho rahi hai. Yani ki abhi apki image under review me hai, or 5 din ke andar apki images ko reviewed kar diya jayega. Yani ki yadi apki image shutterstock ki policy ke anusar sahi hai to aapki images ko approved kar diya jayega. 


Iske ek do din baad apko shutterstock se email prapt hoga ki Apki image approved hui hai ya nahi. Iske baad aap apne shutterstock contributer acount me Log In kare or Portfolio me jakar Reviewed option par click kare. Agar apki images ko approved kar diya gaya hai to yaha apki approved image show ho jayegi. Iska matlab ab ye images shutterstock pe bikne ke tyaar hai. or ab is image koi bhi kahi se bhi kharid sakta hai, or is tarah pratek khariddari par apko .25 $ milega. 

At Last:
To friends is post me apne ye jana ki online image sell karne ke liye shutterstock par Images upload kaise kare. Apko ye article kaisa laga. Hume comment karke jaroor bataye. Or is post ko jyada se jyada logo me share kare taki unhe bhi iska labh mile. 

Post a Comment

0 Comments