About Me

header ads

SEO Friendly blog post kaise likhe (Best 12 creative Ideas) 2019




Hello friends, Blogging apka shouk ho ya phir business ki jarurat, ise apne targeted readers tak pahunchana bahut hi jaruri hota hai, or tabhi apka blogging ka maksad poora ho sakta hai. Isliye jaruri hai ki aap humesha SEO friendly article hi apne readers tak pahunchaye. Lekin ek article ko SEO friendly kaise banaye? Ye sabse main sawal hai. Isliye agar aap bhi janna chahte hai ki SEO friendly blog post kaise likhe to aap is post complete pade isse apko SEO friendly blog post likhne me kafi help milegi. To aaiye jante hai-
seo friendly blog post kaise likhe; seo optimize blog post kaise likhe; seo friendly article kaise likhe; how to write seo friendly blog post; how to write seo friendly article; seo; seo optimise article; blog post idea; blog kaise likhe; blog post kaise likhe; how to write blog post; how to create a blog post; blogging tips; blogging idea; blogging;
SEO Friendly blog post kaise likhe (Best 12 creative Ideas) 

SEO Friendly blog post kaise lihke (Best 12 creative Ideas):

1- Keyword Research:

Dosto, Blog post SEO ka first part keyword research hi hai. Isliye blog post ko search result me top par lane ke liye jaroori hai ki post likhne se pahle uske bare me khoob reseach karna chahiye. Keyword research karte samay apko is baat ka dhyan dena hai ki us keyword pe monthly search or CPC, jyada ho par uspar competition kam hi hona chahiye.

Keyword research karne ke liye kuch paid or free tool bhi hai jinme se aap kisi ka bhi use kar sakte hai. Yaha keyword research ke liye kuch free tool hai diye gaye hai Jaise-
  1. Google keyword planner
  2. Keyword Everywhere
  3. Adword & SEO Keyword Permution Generator
  4. Google Correlate
  5. IM for SMB Bulk Keyword Planner
  6. Keyword In
  7. Soovle
  8. Ubersuggest
  9. Wordtracker Scout
  10. Wordstream 
  11. SEO Chat Suggestion Keyword Finder
  12. Google Trands

2- Use Keyword in title & first paragraph:

Keyword research karne ke baad aap post ke title me keyword ko jaroor likhe or post ke first paragraph me keyword ko kam sa kam 2 baar use jaroor kare. Post likhna start kare tab aap keyword ko dhyan me rakhte hue hi post ko likhe. Yani us post ke beech me kahi na kahi vo keyword jaroor use kiya jana chahiye liekin zabardasti kahi bhi keyword ad na kare. Post ke last me bhi keyword ko jaroor ad kare. 

3- Attractive headline:

Headline blog post ka sabse important part hota hai kyunki isse apki post Search engine ke liye optimize ho jati hai. Ek research ke mutabik 10 me se 8 vekti kewal post ki headline hi dekhte hai or poori post ko padte bhi nahi. Isliye jaroori hai ki aap apne blog ki post ke liye ek attractive SEO friendly headline banaye.  
  
Ye bhi pade:   
          # Successful blogger kaise bane?
          # Ek successful youtuber kaise bane?

4- Long keywords based on Questions:

Blog post me long keyword ka use karne se fayeda ye hota hai ki isse apka keyword unique ho jata hai or low competition wala keyword bhi ban jata hai. Iske karan apke post ko search result me top par ane ke jyada chance bad jate hai. Ek or jaruri baat ki apko blog post ka keyword kisi question par aadharit banana chahiye. 
Jaise- "Apne Passion ko Successful Business me kaise Change Kare?"


5- Section Bracks and Subheading:

Apne blog post ko likhte samay usme proper tarike se Section break ya paragraph banaye kyunki users esi hi post ko jyada padna pasand karta hai jisme saari baate point to point or heading and subheading ke sath proper tarike se section break dete hue paragraph banakar likhi gayi ho. Yaha apko is baat ka dhyan dena hai ki ek paragraph me 5-6 line se jyada na ho. Yani Isse bada paragraph na banye. 

6- Use Images:

Image kisi bhi post ko attractive banati hai. Isliye blog post me images ka use jaroor karna chahiye. lekin jyada images ka use na kare or kam se kam 1 image to har post me jaroor lagaye. Aap kabhi bhi kisi copyright image ko apne blog me use na kare bulki khud hi apne blog post ke liye attractive image banaye taki us image ko dekhte hi log apki blog post ko padna chahe. 

Ek or baat ki image ki size kam se kam hi rakhe. Yadi image 100 kb se kam hogi to jyada accha rageha kyunki jyada badi image ke karan apki website slow hone lagegi or uska load time bad jayega.


7- Optimize Images:

Dosto jis tarah se hum apni post ka SEO karte hai thik usi tarah hume post ki image ka bhi SEO karna hoga. Iske karan apke blog ki images bhi search result me show hone lagegi. Iske liye image ko blog post me lagane ke baad us image me alt text, caption, properties, url link adi ko add karna chahiye. 


8- Internal Linking:

Internal linking ka matlab blog ki ek post ka link dusri post me add karne se hai. Yani yadi aap apne blog ki ek post ko dusri post se link karte hai to use internal linking kahenge. Is tarah apko bhi apne blog ki sabhi post ko ek dusre se interconnect karna hoga. 

Isse ye fayeda hoga ki jab koi user apke blog ki kisi post ko pad raha hoga tab use usi post me other post ka link bhi dekhne ko milega or user yadi chahega to vo dusri post pe bhi divert ho sakega. Is tarah user jyada time tak apke blog par rukega or apke blog ki bounce rate bhi kam hogi. 

9- Permalink(URL):

Permalink kisi bhi webpage ka url hota hai. Yeh url jitna jyada short hoga utna hi accha hota hai. Permalink apke post ke title ke adhar par automatic ban jata hai par apko humesha custom permalink banana chahiye.

Pemalink SEO ke hisab se jaroori hota hai. Isme post ke important keywords hi use kiye jane chaihye. Isse post ke search result me upar ane ke chance bad jate hai.


10- Post Discription:

Blog post discription ka matlab google search result me dikhayi gayi apke post ki details se hai. Yani aap apne blog post me jo bhi discription likhte ho vo detail apke blog ko google me search karne ke doran user ko post ke title ke sath hi dikhayi deti hai. 

Jyadatar user us detail ko dekhkar hi post par click karte hai. Isliye ye jaruri hai ki post ki detail me post se related jaruri jankari bilkul short me likhe, Isse blog ki post search result me attractive or useful dikhayi degi. 


11- Quality Unique Content:

Dosto, ye sabse jaruri baat hai ki aap humesha high quality ka content hi likhe, or vo content poori tarah se orignal hona chahiye yani usme aap internet se kuch bhi jankari copy karke add na kare. Yadi aap esa karte hai to jaruri hai ki aap usme jaruri badlav karke use apni language me likhe.

12- Last me sawal kare:

Agar apki blog post me koi important sawal uthaya gaya hai to log uske bare me discussion jaroor karenge. Isliye aap humesha post ke end me koi na koi sawal jarur add kare. Isse apke readers me jigyasa paida hogi or jyada se jyada readers bhi judenge.

At Last:
To dosto is article me apne jana ki SEO Friendly blog post kaise lihke. Mujhe ummed hai ki apko is article se SEO Friendly blog post lihkne me kafi help milegi. Aap ise apne dosto me bhi share kare taki unhe bhi esi important jankari mile. 
Or agar apke koi sawal ya sujhav ho to hume comment karke jarur bataye. me apke comment ka reply jaldi dene ki kosish karunga. Agar apko ese hi article padna pasand hai to humare is blog ko subscribe kare.

Thanks for visit here...

Ye bhi pade:
# Adsense account approve karane ki best tricks
# Top 20 best business ideas for everyone
# Online paise kamane ke Top 5 best ideas

# E book se piase kaise kamaye?



Post a Comment

5 Comments