About Me

header ads

Adsense account approved karane ki best tricks 2019 | Adsense approval tricks


Hello friends, agar apne bhi apni koi webiste ya blog bana liya hai to ab aap apko intazaar hoga google adsense ke approval ka. To aaj iss post me mai apko adsense account approved karane ki best tricks ke bare me batane jaa raha hu jise follow karke aap 100% adsense ka approval paa sakte hai. 

In tricks ko follow karke hi maine bhi apna adsense ka approval paya hai. Isi vajah se mujhe kuch ese facts pata chala hai jinke karan apko bhi adsense ka approval jaldi hi mil jayaga. To aiyiye jante hai adsense account approved karane ki best tricks ke bare me. 

Adsense account approved karane ki best tricks:

1- Your age must be 18+:

Google Adsense ka account banane ke liye apki age 18+ honi hi chahiye. Isse kam age hone par aap google adsense ka account create nahi kar payenge. Esa na hone par aap apne ghar ke kisi 18+ age wale other mamber ke naam se bhi adsense account bana sakte hai. yaha par dhyan dene wali baat ye hai ki adsense se payment lene kel liye bank account bhi usi name ka hi hona chahiye. yani ki apko adsense me sari detail usi member ki hi bharni hogi.

2- Custome Domain: 

Adsense ka approval jaldi pane ke liye apko apne blog ke liye ek custom domain use karna hoga. Ye custom domain bhi TLD(Top Level Domain) hona chahiye jaise .com, .org, .net, ect. Isse apke blog ki ranking bhi badegi or adsencse ke dwara apko non hosted account diya jayega vo bhi fully approve jiske dwara apko 68% revenue milega adsense ke dwara. 


Yadi aap custome domain ka use karte hai to apko adsense apply karne ke liye 6 month ka wait nahi karna padega jabki .blogspot domain ke sath apko adsense ka approval pane ke liye 6 month ka wait karna jaroori hai.

3- Theme design and colour:

# Design and colour:

Apke blog ki theme ki design bilkul simpal honi chahiye or uska background colour bhi white hona chahiye kyunki google ko esi hi theme jyada pasand ati hai or esi theme par adsense ka approval bhi jaldi hi mil jata hai. Isliye apne blog ke liye jyada colourful template/theme use na kare. 

# Resopnsive theme:

Aajkal jyadar log mobile me hi blog open karke dekhte hai. Isliye ye jaruri hai ki apke blog me responsive theme honi chahiye taki vo theme mobile ki chooti screen ke hisab se bhi adjust hokar open ho sake. Isliye aap apne blog ke liye responsive theme hi select kare. 

4- Fully customize theme:

Adsense apply karne se pahle apko apne blog ki theme/template ko poori tarah se customize karna hoga. Matlab apko apni jarurat ke hisab se menu, social media links, logo, sidebar, author profile adi ko customize karna hoga. Iske alawa apke blog ki theme kafi lightwait ya halki honi chahiye yani uska loading time bhi kam se kam ho. Isliye jab bhi theme download kare tabhi ye sari baate detail se check kar le.


5- Proper navigation in menu and pages:

Apne blog ki theme ko is tarah se custmize kare ki blog ke Menu and Pages ke andar proper navigation ho paye taki user ko ek post se dusri post me jane me confusion na ho. Agar aap aisa nahi karenege to Google apki application ko "under construction" ka reason batakar reject kar dega. Isliye adsence ko apply karne se pahle aap apne blog ke pratek part ko achhe se check jaroor kar le ki kahi usme koi kami to nahi hai.


6- Create important pages:

Apko apne blog pe kuch important pages banane honge jaise Privacy policy, About us, Contact us. Yaha privacy policy wale page me apko apne blog ki privacy or policy ke bare me acche se detail me batana hoga ki aap apne blog pe kis type ke article post karenge, user ko apke blog se kya jankari prapt hogi adi. 

About us page me apko apne or blog ke bare me batana hoga taki user apke blog ke bare me jaan sake ki aap kon hai or kya karte hai.

Contact us page me apko apne blog ke liye ek contact form create karna hoga taki users apse contact kar sake. Iske alawa aap apna ek email id bhi de sakte hai. 


7- Submit blog in google webmaster & analytics:

Apne blog ko google webmaster me submit karke verify jaroor karaye taki google apke blog ke bare me jaan sake kyunki google ko apke blog or post ke bare me google webmaster ke dwara hi pata chalta hai. Google webmaster apke blog ka ek tarah se controlar, doctor, adviser hi hota hai.

Iske alawa aap google analytics pe bhi apne blog ko jaroor submit kare. Yaha se aap apne blog ke traffic ke bare me complete jankari prapt kar sakte hai.   

8- Submit sitemap:

Jab aap apne blog ko google webmaster me submit karke verify kara lete hai uske baad apne blog ka sitemap jaroor submit kare taki apke blog ki post google me index ho sake or jab aap adsense ke liye apply karenge tab google apke blog ka acche se review kar sake or ye pata laga sake ki apke blog post me koi duplicate contant to nahi hai.

9- Don't use copyright images:

Apko apne blog me kabhi bhi copyrighted images ka use nahi karna hai. Aap humesha apni khud ki banai hui images hi apne article me use kare.
Vaise aap chahe to google se copyrighted image bhi download kar sakte hai. Iske aap is post ko pade: 
#Copyright free images download kaise kare

Ye bhi pade:
# Kam samay me ek succesful blogger kaise bane?
# Ek successful youtuber kaise bane?

10- Don't use more images & videos in post:

Dosto agar aap apne blog me jyada images ya videos use karenge to google apko kabhi bhi adsense ka approval nahi dega. Isliye apne blog post me 2 ya 3 images hi use kare. Ek or jaroori baat ye ki jab aap article me image use karte hai to vo image HTML Code me hi maani jati hai. isliye aap humesha is baat ka dhyan rakhe ki apke post me HTML Code ki tulna me text content jyada hona chahiye phir chahe post kitni bhi badi kyu na ho.   


11- Orignal and high quality content:

Apko humesha apne blog pe original content hi likhna chahiye. Orignal content ka matlab aap khud apna hi content create kare, kahi se copy na kare kyunki ese duplicate content ko google easily track kar leta hai. Duplicate content wale blog ko adsense ka approval kabhi bhi nahi mil pata hai kyunki ye adsense ki policy ke khilafh hai. Esi situation me Kabhi kabhi to google esi duplicate content wali website ko block bhi kar deta hai or adsense account bhi suspend kar deta hai. 
  
Ek or baat ki apki blog post kam se kam 500 words ki honi chahiye. Yadi isse jyada hogi to or bhi achha hai. kyunki long article ke google me rank hone ke jyada chances hote hai.


12- Your blog must be in google supporting language:

Google unhi blog ko approval deta hai jo google dwara support ki jane wali total 45 languages me se kisi me bhi ho. Google dwara support ki jani wali language ko janae ke liye aap is link ko follow kare-  https://support.google.com/adsense/answer/9727?hl=en

Ek or baat ye ki aap apne blog me post likhne ke liye Hinglish(Hindi+English) ka bhi use kar sakte hai, jaisa ki mene ye post likhi hai. yaha post ki script english hai or language hindi hai. 


13- Don't use other advertise Ad networks:

Yadi apne blog par pahle se hi Other Ad Networks ka use kar rahe hai to adsense ke liye apply karne se pahle apko apne blog se other Ad networks ke Ad hatane honge. Iske baad hi adsense ke liye apply kare.


14- Must be sufficient post in blog:

Aap adsense ke liye apply tabhi kare jab apke blog pe kam se kam 20 to 25 orignal high quality content ho kyunki isse google apke website ka review acche se kar payega or apko adsense ka approval bhi jaldi milega. Yadi aap kam article me hi adsense ko apply kar denge to vaha se apko "insufficient contant" wala message dekar application ko disapprove kar diya jayega. 


15- Don't use unwanted widget in blog:

Unwanted Widgets, special features hote hai. Ye dikhne me to sundar hote hai par inko blog ya website pe lagane se blog ki speed slow ho jati hai. Isliye aap jaruri widgets hi use kare apne blog me taki apko adsense ka approval easily mil sake.


16- Don't regular change after Adsense apply:

Apko is baat ka khas dhyan rakhna hai ki jab aap adsense ke liye apply kar dete ho to uske baad apne blog me kuch bhi changes na kare kyunki apke apply kar sene ke baad google apke blog ka review kabhi bhi kar sakta hai. Or ese me apka blog use ready milna chahiye. Is doran yadi aap apne blog me regular changes karte ho to google apke blog ka achhe se review nahi kar payega or phir apka application is message ke sath reject kar diya jayega ki your site is in "under construction". 

17- Sumit your site in search engines: like google, yahoo, bing, ect.

Apko apne blog ko sabhi search engines me sumit kar dena chahiye jaise google, yahoo, bing, yendex ect. Isse apke blog pe traffic badega. Vaise ye jaruri nahi hai ki apke blog pe jyada traffic hona hi chahiye. Phir bhi google ko yeh lagna chahiye ki apke blog par bhi kuch traffic to ata hi hai or jyada traffic wale blog ka approval jaldi milne ke chances jyada hote hai. Isliye apne blog ka traffic badane ke liye other SEO techniques ka bhi use karte rahe.

At Last:
To dosto is post me mene apko adsense account approved karane ki best tricks ke bare me bataya hai. To ummed karta hu ki isse apko kuch help jaroor mili hogi. Is post ke bare me apke kya vichar hai, iske liye hume comment karke jaroor bataye.



Post a Comment

0 Comments