About Me

header ads

Best Blogging Platforms for bloggers | Blogging ke liye best lite Platforms

Hello friends, Agar apke paas righting skills hai or blogging shuru karne ki planning hai to blogging software ya blogging platform apke liye sabse important bhumika nibhata hai. Isliye is post me hum baat karne wale hai un Best Blogging Platforms ki jo bloggers ki khas pasand bhi hai. 


Vaise Wordpress iske liye sabse popular platform hai lekin internet par ese kayi or blogging platform hai jo Wordpress se lite hai or SEO yani Search Engine Optimization ke beghtar tools provide karate hai. Ese me in platforms ki jankari apki madad kar sakti hai. 

best blogging platform for bloggers, blogging platform, lite blogging platform
Best Blogging Platforms for bloggers | Blogging ke liye best lite Platforms


Best Blogging Platform for bloggers:


Wordpress:

Yah duniya ka sabse popular blogging platform hai. Iski blogging solution or use karne me asani ke chalte isko 20 parcent websites me use kiya jata hai. Yah kayi powerful options deta hai, jaise fonts or custom look options wali sekdo themes, expert supports or uplabdh plugin ke jariye integrated credit card payment ko accept karna. 


Iska personal monthly plan lene walo ko salana bil diya jata hai, jo wordpress ke sabhi Ads ko hata deta hai. Iske alawa free teer bhi uplabdh hai, jo non-commmercial blog ke liye upyukt hai.

Blogger:

Blogging ke liye ye best platform hai jo ki google dwara provide ki jane wali free service hai. Isme bloggers ke liye unlimited free hosting provide ki jati hai. iske alawa Blogger kuch free themes bhi deta hai. Isme aap chahe to alag se custom domain bhi add kar sakte ho. Starting me agar blogging sikhni ho to blogger ek best platform hai. 


Read Also:

Tumblr:

Mobile se agar blogging karna chahte hai to Tumblr iske liye ek best or free platform hai. Micro blogging ke liye famous Tumblr me 421 million blog shamil hai, lekin iske dwara user earning nahi kar sakte kyunki users ka content Tumblr ke ecosystem me hi rahta hai. 

Yeh chote content wale posts jaise, jocks, spotify tracks, video ya kewal link dalne par hi jor deta hai. Iske alawa aap social media platform ki tarah dusre blogs ko follow karne ke sath sath apni pasand ki post ko apne hi blog me dubara publish kar sakte hai. 

Typepad:

Professional bloggers ke liye banaya gaya yah platform users ko kayi tarah ki flaxibility deta hai. Jaise E mail, web browser ya mobile se content lekar publish karna. Iske alawa khud ka affiliate plan, Google Analytics ke sath asan integration, kisi theme builder ke dwara design customization or user ko apna custom template ya custom CSS se theme me badlav karne ka vikalp bhi deta hai. 

Yah platform bhi poori tarah hosted hai or isme support bhi uplabdh hai. Iske starting 14 deys ke free trial ke baad user shulk wale monthly plan(4 blog tak unlimited storage) le sakte hai.


Jekyll:

Kayi advanced features wala yeh blog platform free hai, lekin user friendly nahi mana jata hai kunki isme kewal community support or is par kaam karne ke liye rubi program ka knowledge hona jaruri hai. 

Iske latest version (3.8.3) me users ka content txt files me create hokar folders me chala jata hai, jiske baad aap liquid language template ko use karenge to Jekyll content or tamplate ko ek saath murge kar dega, jisse apki website create ho jayegi or aap use kisi server par upload kar sakte hai. 

Iske edvanced features me paginating posts, uplabdh plugins, templates or community mainted theme shamil hai. Yah dusre platforms se blog migration ko bhi support  karta hai. 


At Last: 
To friends is post me apne Best Blogging Platforms ke bare me jana. Yeh atricle apke liye kitna helpful raha, iske liye hume commet karke jarur bataye.

Thanks for visit here...
Read Also:






Post a Comment

0 Comments