About Me

header ads

Blog par traffic kaise badaye | How to increase traffic on blog


Hello friends, Agar aap ek blogger hai to apki humesha ye hi koshish rahti hogi ki apne Blog par traffic kaise badaye jisse hume jyada se jyada earning bhi ho sake. To friends aaj is post me hum isi topic ke bare me baat karne wale hai. Isliye aap is post ko complete pade taki apko bhi apne blog par traffic badane me help mil sake.  

Blog par traffic kaise badaye?

1. Consistancy banaye rakhe:

Jitna jyada aap apne blog ko update rakhenge utna hi google apke blog post ko rank karne ki koshish karega kyunki google humesha ese hi blog ko prioroty deta hai jis par regular articles publish kiye jate hai. Isliye aap humesha apne blog par consistancy banaye rakhe or one week me kam se kam apko 2 articles to jarur post karne chahiye.

2. Blog post social media par share kare:

Social media pe har samay lakho log active rahte hai. Isliye yaha se bhi apne blog par accha khasa traffic prapt kiya ja sakta hai. Isliye social media ke sabhi platforms par apko apne blog se related page jarur banana chahiye taki jab bhi aap koi new post publish kare to use social media par sabhi jagah share kar sake. 


Isle alawa aap social media jaise facebook par apne blog se related kayi sare groups bhi join kar sakte hai or vaha bhi apne articles share kar sakte hai. inme se kayi groups me to lakho log jude hote hai. Iska matlab jab aap yaha par apni post share karte hai to apke blog ko accha traffic milta hai.


3. SEO friendly title likhe:

Apke blog post ki pahchan uske title se hi hoti hai. Jyadatar log blog ke tiltle ko dekhkar hi ye andaja laga lete hai ki vo article kis bare me hai ya us article me kya likha hoga. Isliye apko apne blog post ke title par bhi reserach karna chahiye or ek accha sa title likhne ki koshish kare.

Akasar apne magzine ya news paper ke title ko bhi jarur dekha hoga ki vaha par tilte kitna satik likha hota hai or hume us title ko padkar hi us poori khabar ko padne ki iccha hoti hai. Thik yahi baat blog par bhi lagu hoti hai. Isse bhi aap apne blog ki readership bada sakte hai.

4. Apne niche par hi kaam kare:

Apne apna blog jis niche par banaya hai humesha usi niche par kaam kare. Yani ki aap humesha usi se related articles publish kare. Isse apke blog readers humesha aap par trust karnege. 

Agar aap apne blog topic se hatke other article likhenge to isse apke readers apke blog par jyada dhyan nahi denge or ese me apke blog ki domain authority bhi kam ho jane ke chance bad jate hai.

Isliye aap apne niche se related daily kuch na kuch sikhte rahe jisse apko apne blog ke liye new topics milte rahe.

5. Images use kare:

Kisi bhi blog post me di gayi image readers ko akarshit karti hai. Isliye blog post me kam se kam ek akarshak image jaurur use ki jani chahiye. 

Yaha apko is baat ka dhyan rakhna hai ki aap direct google se serach ki gayi images ka apne blog post me use na kare. Iske liye aap pixabey.com, pexels.com, clipart.com jaisi website se copyrigth free images ko download kare use kare.

Read Also:

6. Blog Post me keyword use kare:

Keywords ese shabd ya sentance hote hai jinko search engine me likhkar ya bolkar search kiya jata hai or unhi keywords ki query karke search engine user ko result me dikhata hai.

Isliye blog post likhne se pahle aap uske bare me acche se keyword research jarur kare kyunki internet par user dwara keyword hi search kiye jate hai. Ye ek tarah se On Page SEO ka hi part hai.

Ek or baat ki aap us keyword ko apni blog post ke title me, first paragraph me kam se kam ek baar or baki ke hisse me kam se kam 2 baar jarur use kare. Iske alawa us post ki image ke alt tag or property me bhi us keyword ka use jarur use kare. 

7. External links add kare: 

Apki blog post me jaha bhi jarurat ho vaha aap ohter website ka link use jarur kare. Isse users ko apki post se kafi help bhi milegi or user ke man me ye baat bhi ayegi ki aap humesha apne readers ka samay bachate hue unhe sahi guide kar rahe ho. 

Ek or baat ki Google humesha apke blog par Outbound link dekhna pasand karta hai. Iska ek or fayeda yeh hai ki aapne jis website ka link apne apne blog me diya hua hai vo website ya blog bhi apke is link ko notice karte ho or baad me vo bhi apko apni website ya blog me isi tarah link dena chahe.

Isliye kabhi bhi aap is tarah se external link dene me sankoch na kare. Iska apko fayeda hi milta hai.

8. Add social sharing buttons.

Apko apne blog ke home page me pane social sites ka link jarur de. Iske alawa post ke last me bhi apko social sharing button jarur dene chahiye taki kisi user ko apki post acchi lage to vo use apne dosto me bhi share kar sake.

At the top and bottom of your blog posts, make sure you include social sharing buttons for Twitter, LinkedIn and the other major social networks. Make it easy for readers to spread the word.

9. Old Post ko dubara share kare:

Social media par sabhi users ek sath ya ek hi time active nahi rahte hai. Or ese me apki post ko sirf vo hi user pad payenge jo us samay sicial media par active honge ya thodi der baar active honge.

Lekin unme se kuch users ka kayi dino tak social media par active na rahne ya kisi kaam se busy rahne ke karan vo apke notification par dhyan nahi de pate hai. 

Isliye aap apne sabhi old articles ko samay samay par social media par share karte rahe. Isse regular apke blog par traffic ata rahega.

10. Guest contributors ko invite kare:

Jab aap apne blog par guest post invite karte ho to isse apke blog par consistency badne lagti hai or apke blog ke liye regular post publish hone lagte hai.
Isse kayi users bhi apke blog pe trust karke traffic badane ka kaam karte hai jisse apke blog ka reader network increase hota hai.  

11. Video add kare:

Agar apka apna ek youtube channel hai to aap apne blog post se related videos banakar us video ka link apne blog post me shamil jarur kare. Esa karne se apke user video ke madhyam se us baat ko acchi tarah se samajh payenge jo apne apne blog me batayi hai. 

12. Ad campaign start kare:

Agar apke paas thoda budget hai to apko apne blog ke liye kuch invest jarur karna chahiye kyunki isse apke blog post ko accha khasa boot milta hai. Ye invest aap Ad campaign chalane ke liye kar sakte hai. 

Iske liye aap chahe to Google Adword ya facebook ad network ko chun sakte hai. Facebook Ad campaign aap minimum 60 Rs. se bhi start kar sakte hai. Ye Google Adword ke mukable sasta bhi hai.

Ad campaign chalane se apke blog par target audience aati hai. Jinme se kayi user apke permanent user bhi ban jate hai jo ki baar baar apke blog par visit bhi karte hai. 


13. Guest posting kare:

Guest posting, traffic badane ke best tariko me se ek hai. Jab aap kisi other blog ke liye post likhte hai to us blog par apke bare me or apke blog ka link ad kiya jata hai jise hum dofollow backlink kahte hai. Dofollow backlink se apke blog par traffic ata hai or apke blog ki domain authority bhi badti hai.

Guest posting karne ke liye apne niche se related blog par hi post lihkenge to isse apko kafi jyada fayada hoga. Iske sath hi aap ye bhi dekhe ki jis blog pe aap guest posting karna chahte hai us blog ki domain authority or us par daily traffic kitna ata hai.

14. SEO friendly article likhe:

Article ko rank karane ke liye or user ko search result dwara apke blog tak lane me SEO ka bahut bada haath hotas hai. Isliye aap apne blog ke liye SEO friendly hi lkhe. 

Blog post ka SEO karne ke liye aap usme title, keyword ke alawa label, custom links  and Mata tag discription bhi add kare.

15. Writing skill develope kare:

Agar apke blog par koi user ata hai tab use vaha di gayi information sahi se samajh aa jati hai ya use apke apke article se kuch help milti hai to vo user apke blog par agli baar phir se ana chahega.

Ye apke blog par usre engagement badane me madad karta hai. Isliye aap humesha proper Heading, subheadings, small paragraph banate hi apne article ko likhe. Iske alawa jarurat hone par bullets and number bhi add kare. last me conclusion bhi likhe.
Iske sath hi aap kuch other method bhi ajmaye jaise post ke last me users ko comment, share ya subscribe karne ke ko kahe or unse blog ke bare me feedback dene ko bhi kahe. 

At Last:
To friends apne is post me jana ki apne Blog par traffic kaise badaye or mai ummed karta hu ki apko is post se apne blog par traffic badane me kafi help milegi. 

Agar apke is blog se related koi sawal ya sujhav ho to hume comment karke jarur bataye. 

Thanks for visit here.


Read Also:




Post a Comment

0 Comments