About Me

header ads

Kam Samay Me Ek Successful blogger Kaise Bane-Top 11 Success Tips


Hello friends! aaj is post me mai apko batane wala hu ki Kam Samay Me Ek Successful blogger Kaise Bane? Jiasa ki aap sab jante hai ki online earning karne ka sabse best tarika hai blogging. Or shayad yahi sochkar hi kayi log blogging karna start kar dete hai lekin unme se kuch hi blogging me success ho pate hai. Esa kyu hota hai ki kewal kuch log hi ek successful blogger ban pate hai baki nahi, or akhir vo esa kya karte hai jo uhe sabse best banata hai blogging career me? 
Ese kayi sawal shayad apke man me bhi honge. To ese hi kuch sawalo ke jawab milenge apko is post me. Iske liye bas aap is post ko complete pade taki aap bhi ek successful blogger ban sake. To aayie jante hai ek successful blogger banne ke un top 11 tips ke bare me.
Kam Samay Me Ek Successful blogger Kaise Bane,successful blogger kaise bane, how to become a successful blogger, become successful blogger, kam samay me blog me success kasie paye, blog kaise banate hai  Tips
Kam Samay Me Ek Successful blogger Kaise Bane-Top 11 Success Tips

Kam Samay Me Ek Successful blogger Kaise Bane?

1- Find Your Passion/Interested Topic:

Blogging career me aap tabhi success ho sakte ho jab aap apne passion ya interested topic par kaam karoge. Yani ki jab aap apne interest ke according topic select karke blogging start karte ho to aap acche se blogging kar paoge or regular good article publish kar paoge. 

Yadi aap esa nahi karte hai to shayad aap kuch time ke baad isme boriyat feel karne lagoge or tab aap shayad bloggnig bhi chor denge. Isliye mera manna hai ki aap humesha apne passion ko hi follow kare.

2- Start as a Part Time:

Agar aap bhi job karte hai to apke liye better hoga ki aap blogging ko part time ke roop me start kare kyunki starting me blogging ke bare me kafi kuch chije sikhni padti hai or starting me earning bhi jyada nahi ho pati hai. Isliye kuch samay baad jab apko lage ki aap blogging se acchi income karne lage hai tab aap apni job qiut karke fulltime bloggnig start kar sakte ho.

     # Google pe website/blog kaise banaye free me?

3- Select best Blogging Platform, Domain, Hosting, Theme etc.

Blogging Plateform- 

Blogging start karne se pahle apko ye decide kar lena chahiye ki aap blogging ke liye konsa platform use karna chahte hai. Iske liye do most popular platform hai- Wordpress and Blogger. In dono me se aap kisi bhi platform ko select kar sakte hai. Dono ki apni apni khubiya hai.

Vaise agar aap new blogger hai to apko blogger se hi shuruat karni chahiye kyunki isme apko domain ke alawa kisi pe bhi kharch nahi karna padta hai. Blogger me apko google ki free or unlimited hosting milti hai. Vahi Wordpress me iske liye apko kuch money kharch karni padti hai.

Par mere vichar se jab apko blogging ki achhi knowledge ho jaye or aap apne blog se acchi income prapt karna shuru kar de tab aap chahe to apne blog ko wordpress pe transfer kar sakte hai. wordpress pe apko kayi features milte hai jinki madad se aap apne blog ka SEO, appearance, user experience bada sakte hai. Ek or baat ki jitne bhi successful blogs hai unme se jyadatar blogs wordpress par hi hai.

Domain- 

Bloggnig plateform choose kar lene ke baad aap apne topic se related title choose kare or usi title or topic ke anusar hi domain purchase kare. Iske liye aap Top Level Domain hi kharide jaise- .com, .org, .net, .info ect. 
Inme se aap .com doamin kharidne ki koshish kare kyunki is domain ki ranking kafi acchi hoti hai or ispe Google Adsence ka approval bhi jaldi mil jata hai.


Hosting- 

Yadi aap wordpress par blog banate hai to yaha apko domain ke alawa hosting bhi purchase karni hoti hai. Iske liye 500 se 1000 Rs. per month tak kharch karna padega. Hosting purchase karte samay apko server speed, band width, disk space, backup facility, customer support adi baato ko dhyan me rakhte hue hi hosting kharide. 

Wordress ke liye aap kabhi bhi free hosing na kharide, isse apke blog ko nuksan hi hota hai kyunki free hosting me apke blog par apka 100% command nahi hota hai. 

Vaise blogger me apko hosting purchase karne ki koi jarurat nahi padti hai. Yaha apko google ki taraf se free or unlimite free hosting provide ki jati hai. Bas ye apki choice pe depand karta hai ki aap kya pasand karte hai- wordpress ya blogger!!

Template- 

Ab baat karte hai tamplete ya theme ki to apko apne blog ke liye simple template hi use karna chahiye jisme white background ho par jyada colorful wala template use na kare. Ek or baat, ki blog ka template fully responsive hona chahiye taki jab koi user apke blog ko apne mobile ya tablet me open kare to vo screen size ke anusar adjust ho jaye. Ese template user experiance ko baadate hai or ise Google bhi pasand karta hai. 

Iske alawa apko apne blog me templete download karne ke baad use fully customize/modify bhi karna hoga. Yani ki apko apne blog ke anusar hi header, footer, layout, sidebar, email subscribe, logo, fevicon, social media link, author adi ko modify karna hoga. Saath hi apne blog me important page jaise- about, privacy policy, contact, disclaimer adi banane honge. 
  

4- SEO Techniques Sikhe:

Har ek blogger ye chahte hai ki uske blog ki sabhi post search result me top par aaye to uske liye unko apni blog post ka good SEO karna hota hai. Isliye aap bhi SEO ki jankari prapt kare or apne blog ka SEO acche se kare taki apke blog ki sabhi post bhi top search me aa sake. Apko apne blog ka OnPage or OffPage SEO acche se karna sikhna hoga. Iske liye aap internet ka bhi sahara le sakte hai. Jab aap regular SEO karoge to aap isme expert bhi ban jaoge or iska result apko best hi milega.

5- Useful/Orignal Content:

Content hi apke blog ka product hai. Ilsiye apko humesha useful content par hi dhyan dena chahiye. Content likhne ke liye aap pahle achhi tarah se keyword research kare or uske baad us keyword ke upar ek accha sa high quality content likhe. Keyword research karne ke liye kuch paid or free tools majud hai. Aap jaisa chahe keyword research tool use kar sakte hai. Vaise aap google ka free keyword planner bhi use kar sakte hai. 

Aap apne content topic par bhi achhe se research kare or internet pe usi se related dusre articles bhi pade or unse kuch best points note kare or jo points kisi ne bhi apne article me shamil nahi kiye hai un points ko aap apne article me shamil kare. Kabhi bhi other article ki copy na kare balki apne khud ke vichar hi likhe. Isse apke article ki uniqueness badti hai or yahi baat user ko pasand ati hai. Isse ek or fayeda ye hota hai ki apke andar unique articles likhne ki skill bad jati hai or phir aap long article bhi likh paoge.

6- Link Building and Promotion Kare:

Aap apne blog ka jitna jyada promotion karenge utni hi apke blog ki popularity badegi or sath hi daily traffic vbhi badega. Blog ke promotion ke liye aap social media ka use kar sakte hai. Iske liye aap sabhi platform par apne blog ke naam ka page banaye or vaha regular post promote karte rahe. 

Iske sath sath aap apne blog se related forum bhi join kare jaise Quora. Yaha par log kayi prakar ke question karte hai or yadi aapko unme se kisi qustion ka jawab pata hai to aap us question ka jawab de sakte hai. Isse Quora par apki good backlink ban jati hai jisse apke blog par yaha se bhi traffic aayega.

Link building ko backlink bhi kahte hai. ye 2 types ki hoti hai- do follow and no follow. Backlink banane ke liye kuch best techniques ka use kare jaise guist posting, comment on other sites etc. 


7- Blogging Ki Knowledge Badate Rahe:

Aap ye kabhi no soche ki aap ek blogging expert ban gaye hai or ab apko kuch nahi janna hai. To friend's jaisa ki aap sab jante hai ki sabhi chijo me update or changes ate hi rahte hai. Thik usi tarah blogging me bhi time to time update hote hi rahte hai or google bhi apne algorithm me changes karta rahta hai. Uske karan kayi websites ki ranking bhi change ho jati hai. 

Iske alawa regular blog padne se apko SEO ki new techniques bhi samajh ati hai isse apko apni kamiya door karne ke ideas milte hai or other blogger ke sath acche professional relation bhi bante hai jo ki apke blog ke liye kafi fayedemand hota hai.


8- Writting Skill Develop kare:

Jab aap blog start karte hai tab apke likkne ka style thoda low level ka hota hai or aap kafi grammatical mistake bhi karte hai. Isliye aap regular other blogs bhi padte rahe or unki content writing style bhi samajhe. Aap jab bhi koi article likhe to use publish karne se pahle ek baar starting se end tak check kare. Aap typing speed bhi fast kare taki aap jyada lambe article jaldi hi likhkar publish kar sake.

Content writing ke liye ek kaam or kar sakte hai vo ye ki jis article ko aap likhne jaa rahe hai uske main headings ko ek alag notebook me likh le or uske baad un sabhi points ko discription ke sath likhe.

Iske alawa content ko bewajah lamba na karte hue usme 'to the point' baat hi likhe. Content me starting se hi esa flow banaye ki user ko lage ki use ye article poora padna hi chahiye.

Content ke last me conclusion bhi jaroor lihke or apne visitors ko comments karne ko jaroor kahe kyunki visitors hi apke blog and content ke bare me sahi feedback denge.


9- Comment Ka Reply Kare:

Apke followers or visitors ki apse kuch ummede bhi hoti hai. Iske liye vo apke har ek post me kuch sawal ya sujhsv bhi dete hai. Isliye aap sabhi comments ka reply samay se karne ki koshish kare. Isse apke followers ka apke upar vishvash badta jata hai or vo regular apke blog ko visit bhi karenge.


10- Regularity Banaye Rakhe:

Dosto ye baat to aap jante hi honge ki kisi bhi kaam ko lagatar karte rahne se apko usme ek din success milti hi hai lekin success pana jitna asan hai use banaye rakhna utna hi mushkil bhi hai.

Isliye agar blogging career me aage badna hai or ek successful blogger banna hai to aap isme regularity banaye rakhe or regular high quality articles publish karte rahe. 


11- Patients/ Dherya Rakhe:

Dosto blogging karna koi aasan kaam nahi hai par shayad jyada mushkil bhi nahi hai kyunki agar aap sochte hai ki aap blog start karte hi acchi income prapt karne lagoge to esa nahi hai. Iske liye apko dherya/patients rakhna hoga kyunki iska result dheere dheere milne lagega or ek din aap name, fame and money bhi prapt kar paoge.

At Last:
To friend's mujhe asha hai ki is article se ab aap ye jaan gaye honge ki ek successful blogger kaise bane. Yadi is article se apko kuch help mili ho to ise apne dosto me share kare or apne amulya sawal ya sujhav ke liye hume comment jaroor kare.
Thanks for visit here...

Ye Bhi Pade:
Ek successful youtuber kaise bane?
Apne Passion ko successful business me kaise change kare?
Youtube channel kaise banaye?







Post a Comment

2 Comments